Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..

Tu ney dekhi hai kha..

Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar
Jis ki manzil thi ujra hua sagar
Surmai sham thi jis key char’on taraf
Jis mein manzar judai key thay saf ba saf
Wasal tha sar ba-kaf
Ban gaya kirchi’yan man ka nazuk sadaf
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?
Sang rez’on ki barish hoi thi jaha’n
Aur komal jazbey be-hadaf ban gaye
Paimali ney in ko lahoo ker diya
Ba-wazo ker diya…sur-kharo ker diya
Aaj bhi jo musafir gaya is taraf
Us nay paya nahi wapsi ka nisha’n
Is ko dhonda falaq ney yahan sey waha’n
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?


send poetry

Ghazal Shayari, Sad Shayari
June 9th, 2013

Comment here

Your Comment: