Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin..

Us ke nazdeek gham-e..

Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin,
Mutmayin aesa hai woh jese ke hua kuch bhi nahin,

Ab to hathon se lakeeren bhi mitti jaati hain,
Us ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahin,

Kal bicharrna hai to phir ehd-e-wafaa soch ke baandh,
Abhi aghaaz-e-mohabbat hai geya kuch bhi nahin,

Main to is wastay chup hoon ke tamasha na bane,
Tu samajhta hai mujhe tujh se gilaa kuch bhi nahin,

Ae shumaar ankhen isi tarah bichaaye rakhna,
Jaane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahin..


send poetry

Akhtar Shumar, Ghazal Shayari, Video Shayari
April 24th, 2016

Comment here

Your Comment: