Us simt chalay ho

Us simt chalay ho..

Us simt chalay ho to bas itna use kehna
Ab koi nahi hurf-e-tamanna use kehna

Us ne hee kaha tha to yakeen mein ne kiya tha
Umeed pe kaayeem hai yeh duniya use kehna

Duniya to kisi haal mein jeene nahi deite
Chahat nahi hoty kabhi ruswa use kehna

Zarkhez zameenein kabhi banjar nahi hotien
Darya hee badal leite hain rasta use kehna

Who meri rasaayi mein nahi hai tow ajab kia
Hasrat bhi to hai ishq ka lehja use kehna

Us samt chalay ho to bas itna use kehna!!!

Kuch log safar kae lie mozoo nahi hote
Kuch raste kat-tae nahi tanha Use Kehna.


send poetry

Ghazal Shayari
March 21st, 2011

One comment

  1. Kuch is ki khabar bhi hai tujhko
    Wo roz-e-mehshar kya hoga

    Jis aag ka indhan insan hai
    Us aag ka aalam kya hoga

    Ye jism gawahi khud de ga
    Har hissa badan ka boley ga

    Khamosh zuban ho jaye gi
    Us waqt ka aalam kya hoga

    Kuch is ki khabar bhi hai tujhko
    Wo roz-e-mehshar kya hoga

Comment here

Your Comment: