Usse kehna

Usse kehna..

kahin mile to usse kehna ke tanha sawan bita chuka hoon
main saare armaan jala chuka hoon
jo sholay bharke the khuahishon ke
woh aansuon se bhuja chuka hoon..
‘kahin mile to usay yeh kehna k’
bagair uske udaas hoon main badalti rut ka qiyas hoon main
bhujade apni mohabbaton se sulagti sadion ki piyas hoon main
‘kahin mile to usay yeh kehna ke’ dia jo nafrat ka zehar usne
samajh ke amrit peeraha hoon k bari mushkil se jeeraha hoon
‘kahin mile to ussay yeh kehna k’
woh mere jazbe kuchal gaee hai
na badle mausam bhi itna jaldi woh jitni jaldi badal gai hai
‘kahin mile to ussay yeh kehna k’
fasl-e-nafrat gera raha hoon
gaye dino ko bhula raha hoon woh apne vaade se phir gai
main apne vaade nibha raha hoon
‘kahin mile to usay yeh kehna’ k
na dil main koi malaal rakhe hamesha apna khayal rakhe apne saare gham
mujhko dede aur tamam khushian sambhal rakhe
‘kahi mile to usay yeh kehna..!


send poetry

Ghazal Shayari
August 13th, 2011

2 comment

  1. Mast hai

  2. Kya baat h yaar maja aagya

Comment here

Your Comment:

Next: »