Woh jo mera waqif-e-haal tha..

Woh jo mera waqif-e-..

Usay apne fardaa ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha,
Woh jo us ki subah urooj thi, woh mera waqt-e-zawaal tha,

Mera dard woh kese janta, meri baat kese woh maanta,
Woh to khud fanaa ke safar pe tha usay rokna bhi muhaal tha,

Kahan jao ge mujhe chorr kr main yeh puch puch kar thak geya,
Woh jawab mujh ko na de saka, woh to khud saraapa sawaal tha,

Woh jo us ke saamne aa geya wohi roshni main nahaa geya,
Ajab us ki haibat-e-husn thi, ajab us ka rang-e-jamaal tha,

Woh mila to sadiyon ke baad bhi mere labb pr koi gilaa na tha,
Usay meri chup ne rulaa diya jise guftguu main kamaal tha,

Mere sath woh lag ke ro diya, mujhe “fakhri” itna woh keh saka,
Jise jaanta tha main zindagi woh to sirf weham-o-khayal tha..


send poetry

Ghazal Shayari, Video Shayari, Zahid Fakhri
January 10th, 2016

One comment

  1. Bahot Behtreen Gazal Hai

Comment here

Your Comment: