Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum..

Zamanay se nahi dart..

Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,

“Hasnain” Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum


send poetry

Ghazal Shayari, Mirza Hussnain Azam
March 17th, 2012

3 comment

  1. wo hama chor k chalagay os taras b nahey a ya
    hum mar gay wo dedar karna b nahey aya
    hamara kabar k samna wo kasi or k sat ga raha ha
    a koda kasa tara ansaf ha os bawafa ko hum par tora b taras nahey a ya

  2. mere naseeb ka nirala ho gaya

  3. i like my friends

Comment here

Your Comment: