Zindagi maut ke pardey me rahi

Zindagi maut ke pard..

Hum mohabbat ke talabgaar hue
Kaisey dhokey main giraftaar hue

Zulm se bhi siwa sitam yeh hua
Log zaalim ke tarafdaar hue

Ahl-e-dil waqt ke rahber the kabhi
Ab magar waqt ki raftaar hue

Dil me jo baat bhi aayi keh di
Umr bhar hum na smajh-daar hue

Hum koi Yusuf-e-Kanaan na the
Yunhi ruswa sar-e-bazaar hue

Dard ki jins-e-giraaN leta kaun
Ik faqat hum hi khridaar hue

Zindagi maut ke pardey me rahi
Khwaab dar khwaab hi bedaar hue


send poetry

Ghazal Shayari
November 7th, 2010

One comment

  1. Khwaab aankho se gaye, aur nind raato se gayi,
    Wo gaya to yu Laga jaise zindagi haatho se gayi…..

Comment here

Your Comment: