Wohi andaaz hai zaalim ka zamaanay wala
Dost ban kar bhi nahin saath nibhaanay wala
Wohi andaaz hai zaalim ka zamaanay wala
Ab issay log samajhtay hain giraftaar mera
SaKht naadim hai mujhe daam main laanay wala
Kya kahain kitne maraasim thay humaaray is say
Wo jo ik shaKhs hai muo phair kay jaanay wala
Teray hotay hue aa jaati thi saari duniya
Aaj tanhaa hoon to koi nahin aanay wala
Muntazir kis ka hoon tooti hui dehliiz pe main
Kaun aayega yahaan, kaun hai aanay wala
Main ne dekha hai bahaaron main chaman ko jaltay
Hai koi Khwaab ki taabiir bataanay wala
Kya Khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna
Hai wohii mujh ko sar-e-daar bhi laanay wala
Tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhtay ho 'Faraz'
Dost hota nahin har haath milaanay wala