Na pooch mera hussain (as) kya hai ..

Na pooch mera hussai..

Na pooch mera hussain (as) kya hai ?
Jahan-e-azme wafa ka paikar,
Khrad ka markaz, junoon ka mehwar,
Jamal-e-zehra (as), jamal-e-haider (as),
Zameer-e-inssan, naseer-e-daawar,
Zameen ka dil, asmaan ka yaavar,
Dayar-e-sabro reza ka dilbar,
Kamal-e-eessar ka payambar,
Shaoor-e-aman –o-sukoon ka paykar,
Jabeen-e-insaaniyat ka jhoomar,
Arab ka sehra, ajam ka zewar,

Hussain (as) tasweer-e-ambiya hai,
Na pooch mera hussain (as) kya hai?
Hussain (as) ahl-e-wafa ki bastee,
Hussain (as) aayeen-e-haq parsatee,
Hussain (as) sidq-o-safa ka saathee,
Hussain (as) chashme ana kee mastee,
Hussain (as) pesh-az- adam tasawoor,
Hussain (as) baad az qayam-e-hastee,
Hussain (as) ne zindagee bikheree,
Faza se warna qaza barastee,
Urooj-e-haft, aasmaan-e- azmat,
Hussain (as) ke naqsh-e-pa ki masti,
Hussain (as) ko khuld me na dhoondo,
Hussain (as) mehnga, hai khuld sastee,
Hussain (as) maqsoom-e-deen–o-imaan,
Hussain (as) mafhoom-e- “hal ata” hai,
Na pooch mera hussain (as) kya hai?
Hussain (as) dil hai, hussain (as) jaan hai,
Hussain (as)quraan kee zaban hai,
Hussain (as) irfaan kee saltanat hai,
Hussain (as) sarkaar –e-do jahan hai,
Hussain (as) sajdon kee sar zameen hai,
Hussain (as) zahnon ka asmaan hai,
Hussain (as) zakhmo bharee jabeen hai ..


send poetry

Hussani Shayari
April 8th, 2014

Comment here

Your Comment: