Duniya ki nazron mein girna

Duniya ki nazron mei..

Duniya ki nazron mein girna mere kis kaam aaya
Apno se bichad kar woh bewafa gairon ke kaam aaya.

Main bhool chuka tha ki apne hi bewafai karte hain
Duniya meri barbaad karke use zara bhi rehem na aaya.

Agar woh wafadaar hota to yoon bewafai na karta
Mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya.

Zindagi to qaafiro ke sang gujar hi jaayegi
Par jise dost samjha woh dushmani karne aaya.

Qatal hi karna tha toh samne se karta
Humdard bankar kyon usne peeth main khanjar chalaya.

Dost bana kar fir humse use mujh par pyar na aaya..
Kyon ki bewafaai usne kyon use mujh par pyar na aaya..

Nazro mai uski ab sharm ke cheente hai
Ab tanhaai ne sataya toh mere pas chala aaya.

Fakat mujhe uski zarurat bhi kya hai ?ISHQ?
Ab zanaza mera dekhkar kyon use rona aaya


send poetry

Ishq Shayari
July 20th, 2009

One comment

  1. Idhar aa sitamgar hum apne apne hunar azmayein,
    .
    .
    .
    Tu teer aazma le aur hum jigar azmayein..

    830 875 876 9

Comment here

Your Comment: