Koi kab bhool sakta hai?

Koi kab bhool sakta ..

kitab-e-zeest k saray warq. .
Purzo’n ki surat ho chukay phir bhi
Wo pehla rung jo aankhon mein jaaga tha
Wo pehla naam jo acha mery honto ko laaga tha
Wo gao’n aur wo kachi si pakdandi
Wo pehli rut muhabbat ki
Wo ik anjaan sa sandesa teri shokh aankhon ka
Haya se wo mera palkain jhuka dena
Wo naa’n karty huay masoom sa iqraar kar dena
Wo haan kehty huay be-sakhta inkaar kar dena
Muhabbat k ye saray rung
Koi kab bhool sakta hai. . !


send poetry

Ishq Shayari, SMS Shayari
July 2nd, 2013

Comment here

Your Comment: