Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har Khushi Hai Logon..

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne Walon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi


send poetry

Khushiyaan Shayari
July 20th, 2009

One comment

  1. Lamha Lamha Waqt Guzar Jayega,
    Rooh Ka Daman Bhi Sath Chod Jayega,
    Abhi Waqt Hai Pal Do Pal Sath Guzar Lo,
    Kal Kya Pata Kon Kiski Zindgi Se Chala Jayega.

    Teri Doori Ka Ehsaas Sataane Lagaa
    Teri Saath Guzaraa Har Waqt Yaad Aane Laga
    Jab Bhi Tujhe Bhoolne Ki Koshish Ki Mere Dil Ne
    Aye Dost,Tu Dil Ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga

    Ye Kaisi Doori Hain Humare Beech
    Anchahi Majboori Hain Humare Beech
    Laakh Koshishon Kei Baad Bhi Naa Aa Sake Kareeb
    Kaisi Lakhon Meel Kii Doori Hain Hamare Beech
    Dharkano Se Dharkano Ka Gehra Rishta Hai Do Dilon Kaa
    Phir Kyon Do Jismo Ki Doori Hai Humare Beech

    Aapse Door Kaise Reh Paate
    Dil Sai Aapko Kaise Bhula Paate
    Kash Aap Sapno K Alawa Sheeshay Mai Basey Hote
    Khud Ko Bhi Dekhte Tou Aap Nazar Aate

    Doori Ka Ehsaas Jab Sataane Lagaa
    Lamha-Lamha To Yaad Aane Laga
    Jab Bhi Tujhe Bhoolne Ki Koshish Ki Aye Dost
    Tera Muskurata Chehra Aur Yaad Aane Laga..

Comment here

Your Comment: