Amaa mujh ko roti do..

Amaa mujh ko roti do..

Amaa mujh ko roti do
Kal bhi tum ne baaton se
An-dekhi saughaaton se
Mera jee behlaaya tha
Mujhe khaali paitt sulaaya tha
Lekin ab na sehh paaon ga
Aaj na bhooka reh paaon ga

Acha mera laaal zara bahar khel ke aa jao
Main choolhe ki aatish pr
Kisi gumnaam vaseele ka
Koi hawaala rakhti hoon
Tere bhooke honntton pr
Ik tar nivaala rakhti hoon

Maan ne barassti ankhon se
Darwaze ke hilte bhatt main
Zeest ka chand dhundhlaaya dekha
Munne ka jaata saaya dekha
Phir uss ne apne kaanon main
Khud hi apni goonj suni
Ke jism ke thekkedaar ke paas
Mere iss zakham ka marham hai

Ik lamha tha shayed jeevan ka
Jab maaan ne apni betti ko
Baich diya aatte ke ivaz
Aur apne laaghar kandhon pr
Apni hurmat ki laash uthaaye
Ghar ko palatt parri ke jese
Koi sazaa-e-maut ka mujrim
Bojhal bojhal qadmon se
Phaansi-ghaat ko chalta hai

Amaa khushbuu kehti hai ke
Tum ne maamta ke taishe se
Faaqon ki singlakh chittanon main
Rizq ki nehar nikaali hai
Amaa mujh ko lagta hai
Aaj christmas, eid, diwali hai

Aapa, Aapa tum bhi khana kha lo
Dekho maan ke hathon ki mehak
Roti main shaamil hai
Iss pr tum ne do din se
Paani ka dhoka khaya hai
Khud ko bhook main tarrpaaya hai

Amaa aapa kidar hai ?
Kissi bassti main utri hai ?
Kaise tujhe samjhaaon beta
Kaise tujhe dikhaaon beta
Ab yeh daagh numaayan hai
Mere iss daaman maille pr
Teri aapa bikk gayi hai
Ik aatte ke thailay pr..


send poetry

Mother Shayari, Nazam Shayari, Video Shayari
May 9th, 2015

Comments are closed.

love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari