Duniya ke sapney

Duniya ke sapney..

Jab tu paida huwa kitna majboor tha
Yeh jahan teri soch se bhi dour tha…

Haath paaon bhi tab tere apney na thay
Teri ankhon main duniya ke sapney na thay…

Tujh ko aata jo sirf rona hi tha
Doodh pi ke tera kaam sona hi tha…

Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil main basaya tha maa ne teri…

Maa ke saaye main parwaan chadne laga
Waqt ke sath qad tera badne laga…

Dhirey dhirey tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya…

Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajney laga khud sanwarney laga…

Ek din ek ladki tujhe bhaa gayei
Ban ke dulhan woh tere ghar agayei…

Ab faraayez se tu door honay laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga…

Phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga
Teer baton ke phir tu chalaney laga…

Baat be baat unn se tu ladney laga
Qayda ek naya tu phir padnay laga…

Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Abb humara guzara nahin tere bin…

Sunn ke yeh baat tu tayesh main agaya
Tera gussa teri aqal ko kha gaya…

Josh main aake tu ne yeh maa se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha…

Aaj kehta hoon peecha mera chor do
Jo hai rishta mera tum se woh tod do…

Jao ja ke kahin kaam dhanda karo
Log marte hain tum bhi kahin ja maro…

Baith kar aahen bharti thi maa raat bhar
Inki aahon ka tujh par howa na asar…

Ek din baap tera chala rooth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa toot kar…

Phir woh bhi bas kal ko bhulati rahi
Zindagi isko har roz satati rahi…


send poetry

Mother Shayari
May 8th, 2011

2 comment

  1. Great.

  2. very nice

Comment here

Your Comment:

Next: »