seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko

seeney se laga kar k..

seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko

tu laal hai mera na sataa mujh ko

pachtaye ga ik din jab mein chali jaaon gi

naa chahte huye bhi akela chorr jaaon gi

zamaney dikhaye ga garmi ki shidat tujh ko

yaad karke roye ga tu phir mujhko

mudaton se meri maa ne seeney se nahin lagaya

ab so gayi khaak main jab kuch kehne ka waqt aaya


send poetry

Mother Shayari
December 3rd, 2009

8 comment

  1. bohot pasand ayi, aap esi maa wali shayri mujhe email kijye me apki ma k lye dua krunga

  2. Pyari Maan Tujay Salam,

  3. chahery per apna dest-e-karam phairti huwi
    Maan ro peri gal mairy choomti huwi

    ab kitnay din raho gay tum pass mairy yahan
    thakti nai woh mujh se yeh hi poochti huwi

    Be chain hy kaisy woh mairay chain k liye
    Aatay huway dinon ka safar sochati huwi

    Kehti hay kaisy katati hy tairi pardais main
    Aankhon se apnay ashke rawan poonchti huwi

    Rehti hy jagti woh mairi neend k liye
    Bachoon ko mujh se paray door rokti huwi

    Har bar woh poochti hy kis kaam per ho tum
    Fakheri woh sakhat haath mairay daikhti huwi……

    Maan I Love U…….

  4. wahh re khuda tuney bhi kya cheez banai.. “MAA”. Ek yahi pyaar saccha aur accha samajh aata hai mujhey..

  5. Mai Maa Ko Bahut Miss Kartha hu

  6. MAA Sath Hai to Saya-e-Qudrat Bhi Sath Hai.
    MAA k Bagher Lage Din Bhi Raat Hai.
    Main Door Jaon To Uska Mere Sar Pe Hath Hai.
    Mere Liye To Meri MAA Hi kaienaat Hai.
    Daaman Mein MAA k Sirf Wafaon k Phool Hain.
    Hum Saare Apni MAA k Qadmon ki Dhool Hain.
    Aulad k Sitam Usy Hans ker Qubool Hain.
    Bachon ko Baksh Dena Hi MAA k Usol Hain.
    Din Rat Us Ne Paal Pos k Bara kia.
    Girne Laga to MAA Ne Muje Phir khara kia.
    Dedicated to my sweet Mother

  7. seeney se laga kar kaha karti thi maan mujh ko

    tu laal hai mera na sataa mujh ko

    pachtaye ga ik din jab mein chali jaaon gi

    naa chahte huye bhi akela chorr jaaon gi

    zamaney dikhaye ga garmi ki shidat tujh ko

    yaad karke roye ga tu phir mujhko

    mudaton se meri maa ne seeney se nahin lagaya

    ab so gayi khaak main jab kuch kehne ka waqt aaya

  8. yaaro maa k bghair b kya jeena hy….mery maa mujh se juda hoi hy dil me har waqt rehty hy har baat yad aty hy roz qabar pe jaa k awazy deta ho koi jawb nae milta…..maa k bghair dunya me koi sakoon dundny ki jaga nae…..i love u miss u ami jan bht miss karta ho tujhy

Comment here

Your Comment: