Kabhi hum khoobsurat thay..

Kabhi hum khoobsurat..

Kabhi hum khoobsurat thay,
Kitaabon main bassi khushbu ki maanind,
Saans saakin thi,
Bohat se an-kahe lafzon se tasveeren banate they,

Parindon ke paron pr nazam likh kar,
Door ki jheelon main basne wale logon ko sunaate they,
Jo hum se door thay lekin hamare paas rehte thay,
Naye din ki musaafat jab kiran ke sath hamare aangan main utarti thi,
To hum kehte they, ami titliyon ke par kitne khoobusrat hain,
Humen maathay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke, jugnuon ke des jana hai,
Humen rangon ke jugnu, Roshni ki titliyaan awaz deti hain,
Naye din ki musaafat rang main dabi hui hawaa ke sath khirrki se bulaati hai,
Humen maatthay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke jugnuon ke des jana hai..


send poetry

Ahmed Shamim, Nazam Shayari, Video Shayari
June 20th, 2016

2 comment

  1. ?? ??? ?? ???? ???? ???? ?? ??? ??? ?? ?? ?? ??? ???? ?? ????? ??? ? ? ???? ?? ??? ???? ?? ??? – ??? ???? ???? ??? ?? ??? ?? ???? ??? ?? ????? ??? ??? – ??? ??? ?? ?? ???? ???? ?? ??? ?? ????? ???? ?? !

  2. Oh, what a pity! My comments were in Urdu but were transfigured by question marks there being no provision for Urdu script. Here is the transliteration in English. ” Yeh nazm tou shayer Ahmed Shamim ki kahi hui hai. Aap ney ooper kay video mein issay Nun Mim Raashed kay naam kiyun kar diya, kiya yeh sahve tha ya nazm ki aazad beher sey dhoka kha gaey. Bat kuchh bhi ho Ahmed Shamim ki rooh sey ma’zaret banti hai!

Comment here

Your Comment: