Khod bikhar jain magar rang samet’tey jain..
Khod bikhar jain magar rang samet’tey jain..
Kitna doshwar ye kar sukhan arai hai!
Khod bikhar jain magar rang samet’tey jain..
Kitna doshwar ye kar sukhan arai hai!
Khushi’yan dey ker gham apna loun mumkin hai lekin..
In dam’on to dil ka soda mehnga lagta hai!!
Kaht nahi likha us ko kis kadar satati hun..
Piyar ki tarp ko mein, youn bhi azmati hun!
Muhabbat mein kabhi dorahey ka imkan nahi hota..
Ye hoti hai to hoti hai
Nahi hoti to jitna bhi jatan ker lo,nahi hoti
Koi acha agar lag jaye to sab khami’yan is ki
Achanak khobi’yon ki ourhni mein chup si jati hein
Zamana lakh samjhaye, sambhal jao
Samat aur basarat ko sujhai kuch nahi deta
Samajh ata hai us lamhey
Key jab daman mein lakh’on chyed ho ja’ein
Kabotar key par’on key sath liptey
Sab ayaa’n jab bheyd ho jain
Muhabbat mein kabhi dorahey ka imkan nahi hota..
Ye hoti hai to hoti hai
Nahi hoti to jitna bhi jatan ker lo,nahi hoti
Kahayl mein hai jo chehra nazar bhi aye ga..
Wo apney ghar sey kabhi meray ghar bhi aye ga.!!
Khawab hi khawab kab tak dekh’on!!
Kash tujh ko bhi ik jhalak dekh’on.!
Khirad ka nam janoo’n par gaya, janoo’n ka khirad.!!
Jo chahey ap ka husan karishma saaz karey..
Khawahish’ein kaha’n chain sey rehney dein gi mujhey.!
Teray kehney per agar dil-e-nadaa’n chaley….
Gulab’on ko kabhi chuna kabhi khushbo ban jana
Aur ankh’on key mundair’on per
Chamaktey jugno’on ko wasal ki tasweer dikhlana
Aur is mein gum sa ho jana
Agarchey khawab tha lekin hum’ein tabeer lagta tha
Tujhse koi filhaal Talab hai na Tamanna,
Is Shehr main jaise Tera hona hi bohat hai..
Khamoshi jesay afsaney suna rahi hai mujhey..
Ghaney darkht’on sey awaz aa rahi hai mujhey.!
Khali hein dil fakeer’on key kashkol ki tarha!
Is shehar-e-bewafa sey wafa kon ley gaya..
Khak mein is ki judaai mein paresha’n phir’on!
Jab key ye milna bicharna, meri marzi nikla..
Khushi sey gham ka badla yaha’n nahi milta..
Mil jaye to mujhey asmaa’n nahi milta.!!
Aik sapna hasee’n tar dekha
Ye jaha’n dil nashee’n tar dekha
Chand hum ney zameen per paya tha
Khod ko arsh-e-bare’n pey paya tha
Wo haqeqat tha aik sapna sa
Ghair ho key bhi apna apna sa
Is ka lehja tha dhema dhema sa
Ankh’on ankh’on mein baat kehta tha
Is ki ankh’ein bhi khawab jesi thi’ein
Khob sorat sarab jesi thi’ein
Wo wafa ka yakee’n delata raha
Wadey karta raha, bhulata raha
Phir achanak pata chala hum ko
Hum sey kuch wasta nahi us ko
Hum ney bhanwrey ko jana perwana
Ye to tha us ka mashgala, jana
You’n wo ankh’on mein bo gaya gham ko
Aik pachtawa dey gaya hum ko