Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe

Phir ajnabi fizaon s..

Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe,
Mein phool thi so shaakh se torra gaya mujhe,

Khushbu ki tarah jeena bhi asaan to na tha,
Phool se katra katra Nichorra gaya mujhe,

Mitti ke bartanon ki tarah sari zindagi,
Tora gaya mujhe, kabhi jorra gaya mujhe,

Hathon mein somp di mere kaghaz ki aik nao,
Darya ke tez dharey pe chora gaya mujhe…


send poetry

Poetry For Girls
January 2nd, 2012

2 comment

  1. Lab Pe Aati Hai, Dua Ban Ke Tamanna Meri
    Zindagi Shamma Ki Surat Ho, Khudaya Meri
    Lab Pe Aati Hai, Dua Ban Ke Tamanna Meri
    Ho Mere Dum Se Yuhin Mere Watan Ki Zeenat
    Jis Tara Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat
    Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Soorat Ya Rab
    Ilm Ki Shamma Se Ho Mujko Mohabbat Ya Rab
    Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himayat Karna
    Dard Mando Se Zaeefon Se Muhabbat Karna
    Mere Allah Burai Se Bachana Mujhko
    Naik Jo Raah Ho Uss Reh Par Chalana Mujhko

  2. So beautiful share

Comment here

Your Comment: