mujhe kyun tamasha bana dia

mujhe kyun tamasha b..

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia

Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi

Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba

Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!


send poetry

Pyar Mohabbat Shayari, Sad Shayari, Tanhai Shayari, Yaad Shayari
May 4th, 2010

One comment

  1. Mohsin Naqvi Poetry Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
    Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey
    Thay..!! Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
    Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay…!! Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
    Hum Terii Baat Kiya Kartey Thay ..!! Sach Samajhtey Thay Teray Wadoon
    Ko..!!
    Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay…!! Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
    Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!! Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
    Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!! Woh Bhi Kia Din Thay Bhulaa Kar
    Tujhko..!!
    Hum Tujhey Yaad Kiya Kartey Thay..!! Jab Teray Dard mein Dil Dukhta Tha…!!
    Hum Teray Haq Mein Dua Kartey
    Thay…!! Bujhnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
    Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!! Apnay Jazboon Ki Kamandon Say
    Tujey..!!
    Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!! Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
    Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!! Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
    Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey
    Thay..!! Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
    Hum Sukh’noor Bhi Howa Kartey
    Thay…!!

Comment here

Your Comment: