Kabhi khwab ban kar ankhon main raho

Kabhi khwab ban kar ..

bandh lain hath pe seenay pe saja lain tum ko
ji to karta hay ke taweez bana lain tum ko

phir tumhain roz sanwarain tumhain baehta dekhain
kiun na angan main chambeli sa laga lain tum ko

kia ajab khwahishain uthti hain hamare dil main
kar ke munna sa hawaon main uchhalain tum ko

kabhi khwab ban kar ankhhon main raho
bana ke yaadain kabhi dil main bula lain tum ko

kis qadar toot ke tum pe hamain pyar aata hay
apni banhon main bharain mar hi dalain tum ko


send poetry

Romantic Shayari
May 3rd, 2010

Comment here

Your Comment: