Aankhen

Aankhen..

Daraz Palkain Visal
Ankhen
Musawari Ka Kamal
Ankhen
Sharab Rab Ne
Haram Kar Di
To Phir Kyun Rakhi’n
Halal Ankhen
Hazaron inse Qatal
Huay Hain
Khuda K Bande
Sambhal Ankhen…


send poetry

Sad Shayari
May 23rd, 2011

One comment

  1. Gulaab Aankhen Sharab Aankhen

    Yehi To Hain La-jawab Aankhen

    Inhi Mein Ulfat Inhi Mein Nafrat

    Sawab Aankhen, Azaab Aankhen

    Kbhi Nazar Mein Bala Ki Shokhi

    Kbhi Srapa Hijab Aankhen

    Kbhi Chhupati Hain Raaz Dil K

    Kbhi Hain Dil Ki Kitab Aankhen

    Kisi Nay Dekhi To Jheel Jesi

    Kisi Nay Payeen Sraab Aankhen

    Wo Aaye To Log Mujh Sy Bolay

    Hzoor Aankhen, Janab Aankhen

    Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam

    Sawal Koi, Jawab Aankhen

    Ye Mast Mast Be-Misal Aankhen

    Nshay Sy Hr Dm Nidhal Aankhen

    Uthen To Hosh-o-Hwaas Chheenen

    Giren To Kr Den Kamal Aankhen

    Koi Hai In K Karam Ka Talib

    Kisi Ka Shok-e-Wisal Aankhen

    Na Yun Jla’ayn Na Yun Sta’ayn

    Kren To Kuch Ye Khayal Aankhen

    Hain Jeenay Ka ik Bahana Yaro

    Ye Rooh Parwr Jamal Aankhen

    Draaz Palken Wisaal Aankhen

    Musawri Ka Kamal Aankhn

    Sharab Rab Nay Haram Kr Di

    Mgr Q Rkhi Ye Halal Aankhn

    Hzaron In Sy Qatal huway hain

    Khuda K Bnday Smbhal Aankhen.

Comment here

Your Comment:

Next: »