Tor kar ahad-e-karam
Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
Bandaa paravar jaayiye achchhaa Khafaa ho jaayiye
Raah men miliye kabhii mujh se to azaraah-e-sitam
HoNTh apane kaaT kar fauran judaa ho jaayiye
Jii men aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se
Ab na miliye phir kabhii aur bevafaa ho jaayiye
Haaye re be-iKhtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
Us saraapaa naaz se kyuuN kar Khafaa ho jaayiye
Shayari like this
Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey
Unhone dekha aur aansu ghir pade
Teri yaad se rishta kal bhi tha
Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai
Aasaan nahi dard-e-dil ko manana
Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay
One Response to “Yun Na Mil Mujhse Khafa Hou Jaisay”
Leave a Reply
Next: Kabhi yaad hi nahi aaya »

owais
July 17th, 2010 at 6:09 am
un k liye ab owais hum begane ho gaye,
wo baatein, wo yaade, wo kissey sab bemane ho gaye,
hum to ab bhi muskurate hain kabi rote hain wo tera chehra yaad kar,
aur duniya ye samajhti hai hum diwane ho gaye..
Tc! Os!