Aansoo Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Aansoo Shayari Poetry. Feel free to add your own Aansoo Shayari Shayari here.

Aansoo Shayari Collection

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry. Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears. Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.



Roz Subha Khud Say

Aansoo Shayari

Roz Subha Khud Say Ek Wada Kartay Hain
Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Ke Liye Amaadah Kartay Hain



Neend Aankhon Main Nahin

Aansoo Shayari

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye !



Jab Jab Aapse Milne

Aansoo Shayari

Jab Jab Aapse Milne Ki Umeed Nazar Aayi
Mere Pairon Mein Zanjeer Nazar Aayi
Gir Pade Aansu Aankhon Se
Aur Har Aansu Mein Aapki Tasweer Nazar Aayi



Jhotay Ilzaam

Aansoo Shayari

Jhotay Ilzaam Meri Jan Lagaya Na Karo
Dil Hai Nzuk Issay Tum Dukhaya Na Karo
Meri Ankho Main Jo Achay Nai Lagtay Ansoo
Tu Tum Yoon Mughay Jalaya Na Karo



Dil Ne Kaha Ankh Se

Aansoo Shayari

Dil Ne Kaha Ankh Se, Dekha Karo Kum
Kyunki Dekhte Ho Tum, Aur Tadpte Hai Hum
Us Par Aankh Ne Kaha Dis Se, Socha Kro Kum
Kyunki Sochte Ho Tum Aur Rote Hai Hum



Aansu jo beh rahey hein

Aansoo Shayari

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..



Ab Aansuoon Ko Aankhon Main

Aansoo Shayari

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga?!!!



Na wo wafa ki devi hai

Aansoo Shayari

na wo wafa ki devi hai?
na hai wo bewafayii ki murti?.

kash khud ko itna bedard na banaya hota ?
to sayad ushey rok pata?.

kaheti thi ki ?mere pyaar ki umar ho itni sanam ..
tere naam se suroo tere naam se khataam??

per naam ka fashla na badha hota itna ?
to sayad ushey rok pata?

khati thi ?baith mere pass tujhey dekhti rahoon?..?
kass ushkey rooh me utar jata ?
to sayad ushey rok pata?.



Aansuo?n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Aansoo Shayari

Aansuo?n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi



Ik Shakhs tanha rota Raha hai

Aansoo Shayari

Ik Shakhs tanha rota Raha hai,
apne aansuo ko palko pe parota raha hai,

akeeda to tha usey piyar k karishmo par,
phir bhi karne se darta raha hai,

Chahat thi sada pas rakhne ki kisiko,
utna hi us se koi door jata raha hai,

Hai umeed usey kisi k lout aney ki aaj bhi,
Isi gumaan me janey kab se jeeta raha hai,

Posheeda hai ik taweel si dastaa us me,
Kon janey kisey chahta raha hai,

So jo nahi paa raha pathar k bichoney pe,
yakeenan kisi ki baaho me sota raha hai,

kasoor fakkat itna tha nadaa ka,
k gham duniya se chupata raha hai,

aaj tum kiska matam karte ho logo,
Wo to janey kab se marta raha hai,


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Aansoo Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari