Urdu Ahmad Faraz Poetry

This website contains Urdu Ahmad Faraz Poetry. Feel free to add your own Urdu Ahmad Faraz Poetry here.

Advertisement


Ahmad Faraz Poetry

Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.



Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz

Ahmad Faraz Poetry

Tota tu ho magar abhi bikhra ny faraz
mery badan pay jesy shikaston ka jaal ho



Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat

Ahmad Faraz Poetry

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,

Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,

Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,

Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,

Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

(Chor:Something Fishy)(Tark-e-Taluq:Boycott)(Moortain:Idols)(Ikhtlaaf:Not Agreeing)



Suna hai log usey ankh bhar ke dekhte hain

Ahmad Faraz Poetry

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain



Chain o Sakoon

Ahmad Faraz Poetry

Is qadar qemti to na tha mera chain-o-Sakon Faraz
Loot kr lay gya wo kissi anmol khazany ki tarah..



Dil se Utar Ja

Ahmad Faraz Poetry

Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga

itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga

tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga

dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “faraz”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!



Uski Aankhain

Ahmad Faraz Poetry

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….

Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….

Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..

Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…



Mera Pehla Pyaar

Ahmad Faraz Poetry

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,

Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,

Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,

Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,

Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,

Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,

Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,

Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,

Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,

Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,

Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.



Naam e Wafa

Ahmad Faraz Poetry

Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna….



Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

Ahmad Faraz Poetry

Zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain

Kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab vahi log hamain abalapa kahte hain

Koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain

Ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain

Jab talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain

Kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain



Pathar na aye ga

Ahmad Faraz Poetry

Yun phir raha hai kaanch ka peiker liye howey
Ghafil ko yeh gumaan hai ke pathar na aye ga



Shayari

Ahmad Faraz Poetry

Shayari, aawargi, khushbu, wafaa, lazzat, sharaab
Mukhtalif shaklon main shehzaade ko aurat chahiye ..!



Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho

Ahmad Faraz Poetry

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho

Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho

Is deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho

DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho

Yeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho

Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho

Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho

Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho

Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho

Ae jaan-e-’Faraz’ itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho



Tamaam umar

Ahmad Faraz Poetry

Ye kyaa ke sab se bayaan dil ki haalaten karani
`Faraz` tujh ko na aain muhabbaten karani

Ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hamen
Shumaar abhi se judaai ki sa`aten karani

Koi khudaa ho ke patthar jise bhi ham chaahen
Tamaam umr usi ki ibaadaten karani

Sab apane apanee qarine se muntazir us ke
Kisi ko shukr kisi ko shikaayaten karani

Ham apane dil se hain majabuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamaten karani

Milen jab un se to mubaham si guftaguu karanaa
Phir apane aap se sau-sau vazaahaten karani

Ye log kaise magar dushmani nibhaaten hain
Hamin ko raas na aain muhabbaten karani

Kabhi `faraz` naye mausamon men ro denaa
Kabhi talaash puraani raqaabaten karani…!!!!



Ae khuda

Ahmad Faraz Poetry

Dukh fasana nahi k tujh se kahain
Dil bhi mana nahi k tujh se kahain,

Ek tu harf aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kahain,

Ae khuda dard e dil hai bakhshish e dost
Aab o daanaa nahi k tujh se kahain

Be tarah haal e dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kahain

Qasidaa hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi k tujh se kahain

Ab to barson se us gali men FaRAZ
Aana jaana nahi k tujh se kahain



Tum Khud Ko Juda

Ahmad Faraz Poetry

Phool Shaak Se Bichre To Kaheen Ka Nahi Rehta “Faraz”
Tum Khud Ko Juda Meri Zaat Se Soch K Karna………

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Faraz Poetry.



Search Urdu Poetry



RSS Shayari

  • Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko February 7, 2012
    Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko pukarta hy pahardon ka silsilah muje ko Mai asma-o-zameen ke hadey mila deta koi sitara agar jhuk ke chomta muje ko Chipak gy mery talwon sy phool seshy ke zamana khench raha tha barhana paa muje ko WO shehsawar barda reham dil tha mery lieye bardha ke nezah zameen sy utha liya muje ko mkan,khait,sabhi aag ki lapeet mai […]
  • HAr roz hamey milna har roz bichardana hy February 7, 2012
    HAr roz hamey milna har roz bichardana hy mai raat ki parchain to subha ka chera hy Alam ka ye sab naqsha bacho ka gharonda hy ek zarey ke qabzey mai sehmi hoi dunya hy hamrah chalon mery ya rah sy hat jao Dewar ke roky sy darya kahi rukta hy En ke hi isharon par ye raat mili hum ko jin chand sitarey sy chehrey ka saya bhi sunhera hy Sannatey ke shakhon par […]
  • Toota rehta ho pairon mai tazad karb sy February 7, 2012
    Toota rehta ho pairon mai tazad karb sy apny bahar muskurana,apny andar sochta ho … […]
  • Teharta hy jo ek qafla gham mery Dil mai February 7, 2012
    Teharta hy jo ek qafla gham mery Dil mai es choti sy basti sy guzar kuin nahi jata … […]
  • Toota ho ek bar magar faisla ye hy February 7, 2012
    Toota ho ek bar magar faisla ye hy os intiha pay bar digar jana hy muje … […]
  • Toot kar rehgia aeyny sy rishta apna February 7, 2012
    Toot kar reh gia aeyny sy rishta apna ek muddat hoi dekha nahi chehra apna … […]
  • Tooti jogar ke jheel ke darpan pay ek kiran February 7, 2012
    Tooti jogar ke jheel ke darpan pay ek kiran moj-e saba ny rooh mai kanta chobo diya … […]
  • Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay February 7, 2012
    Toot jata hy tu sur or bhi lo dety hay dil jisy kehtain hy wo saz hy juda sab sy … […]
  • Tooti hoi qabrain ho ke ajrdy howay chehry February 7, 2012
    Tooti hoi qabrain ho ke ajrdy howay chehry mat khata imarat ki tehreer pardha kar … […]
  • Tooti fasil-e-lab na dar chasme wa hawa February 7, 2012
    Tooti fasil-e-lab na dar chasme wa hawa ghut ghtu kar mar gia mery andar ka admi … […]