Urdu Azizi Shayari

This website contains Urdu Azizi Shayari. Feel free to add your own Urdu Azizi Shayari here.

Advertisement


Azizi Shayari

Azizi Shayari is taken from Hasb-e-Haal TV program. Azizi Poetry is all about whats being happened in pakistan. Azizi expresses his Azizi Poetry in a funny way. Azizi Shayari is a new shayari category, so we will try to keep it updated.



roj kehta hu ke bhul jayunga use

Azizi Shayari

roj kehta hu ke bhul jayunga use
magar na jane kyu roj ye baat bhul jata hu



Ghar ka darwaza khola rakha hai

Azizi Shayari

Ghar ka darwaza khola rakha hai,
Waqt mil jae to zehmat karna.



Joo chahat se daikhe us ke saang chale

Azizi Shayari

Joo chahat se daikhe us ke saang chale,
Saach pocho to chand bara harjaai hai.



Puraney chorr kar aao naye mehmaan hazir hain

Azizi Shayari

Sabhi kamrey, bawarchi khaney, lawn hazir hain
Puraney chorr kar aao naye mehmaan hazir hain

Kabhi kisi ka na koi kheyal karte hain
Achanak raat 12 baje bhi aa tapakte hain
Akele hi jinhe bardasht karna baat hai okhi
Woh apne sath le ate hain poori fauj bachon ki
Jo ana zaroori tha to banda phone tou karde
Yeh kesa surprise hai ke moo chuk ke laga aye

Bana kar jaan hamari yeh vabaal-e-jaan karte hain
Puraney chor kar aao naye mehmaan hazir hain

Takaluf mein agar poochein ge ke khayen ge kya
To kahen ge chaye theher ke, pehle ho jaye thanda
Abhi hum diet per hain, Diet bottle hi mangayiye ga
Taayi cake ke siwa kuch bhi na laayiye ga
Zara sa choclate cake le aayiye ga mere jogi
Ciggerete bhi agar milein tou aik dabbi bohat hogi

Supari, Saunf, Sheehsa aur paan haazir hain
Puraney chorr kar aao naye mehmaan hazir hain



Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Azizi Shayari

Na bijli na cng na safe kisi ki jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jhootay sachey case bana ke ik doojay ko rolain
Jahan pe common fayda inke wahan ikathey ho lein
Jail training leke niklein bane seyasatdaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Khambey sath khalotey rehnde Jo wehle mustandey
Banda in ko lamyaan pa ke changa phandey
Janjjj kisi ki dhol kisi ka aewain e nachhi jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Har ik match pe satta laga ke har bar hardey
Har ik road pe shokhay one-whieling pe karde
Agli nassal ke hath mein hai sheesha cigerrete paan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aap broiler ban gaye hum kha kha chicken machini
Sunyaarey bhi sona chad ke bechne lag gaye cheeni
Paanch rupay ke sikkay jitna paanch rupay ka naan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jese tota mena ranjha mangey apni choori
Wese her ik file ke andar note zarooori
Warna chakar lagatey ho jayen halkaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Chatting message msn ke peechey kese bhaagey
Package karwa ke saari ratain jaagey
Hatam howey in ke parrhan parhaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Ghar araam se bethey hon ge road pe sab ko jaldi
Sabar ka phal jo meetha, nahin hai iski demand
Chahey hon in ke chaalaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aadat parri dikhawy ki, woh jaan na is se chootey
Masnoooyi se ho gaye sarey sab rishtey tootay
Buray lage sab rishte, zeher lagen mehmaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Azizi Shayari.



Search Urdu Poetry




RSS Shayari

  • Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye February 21, 2012
    Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye, Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye, Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher, Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye, Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de, Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye, Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon, Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye, Ik simt te […]
  • Yaadon Ka Bhulana Mushkil Hai February 21, 2012
    Be Kaif Sahi, Be Rang Sahi, Ek Leher To Ab Bhi Aati Hai .. Dil Laakh Shikasta Ho Mohsin, Yaadon Ka Bhulana Mushkil Hai…!! … […]
  • Aankhon Mein Namii Si Hai February 21, 2012
    Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai… … […]
  • Sabhi insan hain mager, Faraq sirf itna hay.. February 21, 2012
    Sabhi insan hain mager Faraq sirf itna hay Kuch zakham dety hain Kuch zakham bharty hain Humsafar Boht hain Mager Farq sirf itna hay Kuch sath dety hain Kuch chor dety hain Piyar Sabhi kerty hain Mager Farq sirf itna hay Kuch jaan dety hain Kuch jaan lety hain Dosti Sabhi kerty hain Mager Farq sirf itna hay Kuch loog nibhatay hain Kuch loog aazmatay hain … […]
  • Chalo Ik Baar Chaltay Hain February 21, 2012
    Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest […]
  • Jalta rehta to raakh ho jata.. February 21, 2012
    Ehtyaatan bujha sa rehta hun, Jalta rehta to raakh ho jata !!! … […]
  • Tujhe bhulany ki koshish to bohat ki February 21, 2012
    Tujhe bhulany ki koshish to bohat ki “aye bewafa”, Teri yadain gulab ki wo shaakh hai jo roz mehakti hai…. … […]
  • Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha February 20, 2012
    Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha Khauf Aasmaan Ke S […]
  • Muntazir February 20, 2012
    Muntazir Sub Mere Zawaal ke Hain, Mere Ehbaab Bhi Kamaal ke Hain..! … […]
  • Tere hijer main jo bi guzri hai February 20, 2012
    Tere hijer main jo bi guzri hai, Aye humnawa behaal hi guzri hai.. … […]