Urdu Dard Bhari Shayari

This website contains Urdu Dard Bhari Shayari. Feel free to add your own Urdu Dard Bhari Shayari here.


Advertisement



Dard Bhari Shayari

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Hadh se barrh jaye gi ik din khaawish e awargi..

Dard Bhari Shayari

Hadh se barrh jaye gi ik din khaawish e awargi,
sheher walon ke liye sehraa bhi ghar ho jaye ga..



Mushkil ho geya hai khud ko sambhaley rakhna..

Dard Bhari Shayari

Bohat mushkil ho geya hai khud ko sambhaley rakhna,
Magar woh keh geya hai apna khayal rakhna…



Aftaab ho jaise waisa hoon mein..

Dard Bhari Shayari

Aftaab* ho jaise waisa hoon mein,
Shaam abhi ayi na thi dooba hoon mein..

(aftaab;moon)



Yahan sunta nahi fariyad koi..

Dard Bhari Shayari

Yeh Sangdilon ki duniya hai yahan sunta nahi fariyad koi,
Yahan hastey hain log jab bhi hota hai barbaad koi..



Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga..

Dard Bhari Shayari

Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga,
Bhari zaalim duniya main koi to hamara hoga..



Haal e dil kehne geya tha, na kaha..

Dard Bhari Shayari

Haal e dil kehne geya tha, na kaha,
Mausamon par guftgu achi rahi….



Be’hissi ke haatmey ka marhalaa bhi aye ga..

Dard Bhari Shayari

Be’hissi ke haatmey ka marhalaa bhi aye ga,
Sabhi pathar ho gaye to zalzlaa bhi aye ga..



Waqt hi be’meher tha, halaat hi be’faiz they..

Dard Bhari Shayari

Waqt hi be’meher tha, halaat hi be’faiz they,
Kaun sa gham tha jo Mohsin ne apnaya na tha..

Mohsin Bhopali



Na hum hotey, na dil hota..

Dard Bhari Shayari

Hum khud hi baayes-e-azaar hain apne liye warna,
Na hum hotey, na dil hota, na dil aazaariyan hotin..



Mujh se takratey hain pathar ke sanam..

Dard Bhari Shayari

Har qadam per mujh se takratey hain pathar ke sanam,
Kya bhari dunyaa main insaan aye khudaa koi nahin??



Magar mere din guzar rahe hain..

Dard Bhari Shayari

Gham-e-mohabbat sataa raha hai gham-e-zamana massal raha hai,
Magar mere din guzar rahe hain, magar mera waqt ttal raha hai..



Intizar ka aalam kya bataaon..

Dard Bhari Shayari

Intizar ka aalam kya bataaon Parvaaz,
Chaunk parrta hoon sans ki sadaaon par..



Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri..

Dard Bhari Shayari

Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri,
Tere kheyaal mein patey they junglon ke..



Raat ke pichley peher uthataa hai..

Dard Bhari Shayari

Raat ke pichley peher uthataa hai,
Dard-e-dil tahajjud guzaar ho jese..



Humain bhi apni tabaahi pe ranj hota hai..

Dard Bhari Shayari

Humain bhi apni tabaahi pe ranj hota hai,
Hamarey haal-e-pareshaan pe muskuraao nahin..


Advertisement



We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



Search Poetry

urdu poetry dictionary love shayari romantic shayari sad shayari



RSS Shayari