December Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu December Shayari Poetry. Feel free to add your own December Shayari Shayari here.

December Shayari Collection

December Poetry holds a special place in the hearts of literature lovers. The month of December is known to be cold and lonely month. December Poetry and December Shayari is all about Mausam (Weather) and loneliness.



Har sitam aik dum december main..

December Shayari

Har sitam aik dum december main,
Jamm se jate hain gham december main,

Saal bhar is liye main roya hoon,
Dil bhare kam se kam december main,

Yadain chutti manane ayi theen,
Ghar se nikle na hum december main,

Har shajar pe khizaan ne gaRr diya,
Aik ujRra alam december main,

Baraf ki kirchiyan hain palkon par,
Ah, yeh chashmm-e-num december main,

Lambi raton ka faiz hai shayed,
Zam huye gham main gham december main,

Laila se baRh ke maut achi lagi,
Qais rab ki qasam december main..



Akhri chand din december ke..

December Shayari

Akhri chand din december ke,
Har baras hi giraan guzarte hain,
Khawhishon ke nigaar-khanay se,
Kese kese gumaan guzarte hain,

Raftagaan ke bikharte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke safhon se,
Kitne number pukaarte hain mujhe,
Jin se marboot be’nawaa ghanti,
Ab faqat mere dil main bajti hai,

Kis qadar pyare pyare naamon pr,
Reengti bad’numaa lakeeren si,
Meri aankhon main phail jati hain,
Dooriyan daayere banati hain,

Phir december ke aakhri din hain,
Har barass ki tarah se ab ke bhi,
Diary ik sawaal karti hai,
Kya khabar is baras ke akhir tak,
Mere in be’chiraagh safhon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,

Kitne number bikhar ke raston main,
Gard-e-maazi se att gaye hon ge,
Khaak ki dheriyon ke daman main,
Kitne tufaan simatt gaye hon ge,

Har december main sochta hon main,
Aik din is tarah bhi hona hai,
Rang ko roshni main khona hai,

Apne apne gharon main rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Un ki ankhon ke khaak-daanon main,
Aik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch benishaan safhon se,
Naam mera bhi katt geya hoga..



Dil ko reh reh ke yeh andeshe daraane lag jayen..

December Shayari

december shayari

Dil ko reh reh ke yeh andeshe daraane lag jayen,
Waapsi main ussay mumkin hai zamaane lag jayen,

So nahin paayen to sone ki duaayen maangen,
Neend aanay lage to khud ko jagaane lag jayen,

Uss ko dhoondhen usay ik baat bataane ke liye,
Jab woh mil jaaye to woh baat chupaane lag jayen,

Har december ussi vehshat main guzaara ke kahin,
Phir se aankhon main tere khawb na aanay lag jayen,

Itni taakheer se mat mil ke hamen sabr aa jaye,
Aur phir hum bhi nazar tujh se churaane lag jayen,

Jeet jaayen gi hawaayen yeh khabar hote huye,
Tez aandhi main charaaghon ko jalaane lag jayen..



December tu kyun aaya hai..

December Shayari

December tu kyun aya hai,
Teri hi aik bheegi shab main,
Mujhse bicharrne waley ne,
Mujh se ehad kiya tha yeh,
December jab bhi aaya to,
Main bhi loat aaon ga,

Quhar main liptte huye din,
Aur bheegi huyi raatein,
Wassl ki khushbuu se,
Mehki rim jhim rim jhim barsaatein,
Main tere sangg bitaaon ga,
Koyelon ki aag jalaa kar,
Beth kar lihaafon main,
Hijar ke beetey lamhon ke,
Qisse tumhe sunaaon ga,

Ab tere tanhaa aane se,
Iss ke jhoote waade ne,
Mujh ko barra rulaya hai,
Jab woh nahin aaya to,
December, Tu kyun aaya hai..

Watch Video



Aakhri chand din december ke..

December Shayari

Aakhri chand din december ke,
Har saal hi giraa’n guzarte hain,
Kese kese gumaan’n guzarte hain,
Raftaang ke guzarte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke saf’hon se,

Har barss ki tarah,
Diary ab bhi sawaal karti hai,
Kya khabar is barss ke aakhir tak,
Mere in be’chiraag saf’hon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,

Apne apne gharon mein rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Unki aankhon ke khaak’daanon main,
Ik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch be’nishaan saf’hon se,
Naam mera bhi katt geya ho ga..



Yaad dilata hai december..

December Shayari

december shayari
Yaad dilata hai december,
Kisi ke lehje ka sard ho jana..



December kis liye aakhir hamesha khaas lagta hai..

December Shayari

Woh darjan bhar mahinon se,
Zara mumtaaz lagta hai,
December kis liye aakhir
hamesha khaas lagta hai,

Bohat sehmi hui subhein,
Udaasi se bhari shaamein,
Dopehrein royi royi si,
Woh raatein khoyi khoyi si,

Garam dabeez shaalon ka,
Woh kam roshan ujaalon ka,
Kabhi guzre hawalon ka,
Kabhi mushkil sawalon ka,

Bicharr jaane ki mayoosi,
Milan ki aas lagta hai,
December kis liye aakhir
hamesha khaas lagta hai..

Watch Video



Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka..

December Shayari


Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka,
Udaasi meri fitrat hai isey mausam se kya lena..



Tumhare baad guzrein ge kese hamare din..

December Shayari

Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din,
November se bachen ge to december maar daale ga..



Andaaz acha hai december tere aaney ka..

December Shayari

Halki halki si ssard hawaa, zara sa dard-e-dil,
Andaaz acha hai december tere aaney ka..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more December Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari