December Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu December Shayari Poetry. Feel free to add your own December Shayari Shayari here.

December Shayari Collection

December Poetry holds a special place in the hearts of literature lovers. The month of December is known to be cold and lonely month. December Poetry and December Shayari is all about Mausam (Weather) and loneliness.



Chupke se december ne yeh sargoshi ki..

December Shayari

Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,
Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey..



Mujhe ab farq nahin parta..

December Shayari

Mujhe ab farq nahin parta, december ke beet janey ka,
Udaasi meri fitrat hai, isey mausam se kya matlab..



Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam..

December Shayari

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam,
sulagta raha dil ke andar akeley,

Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke,
Magar guzarta nahi ab December akeley..



Hijar ke maaron pe qayamat hai december..

December Shayari

Thithharti huyi shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar,
Mohsin, yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december..



December ageya jaana..

December Shayari

December ageya jaana,
Ke phir ek saal,
Teri yaad ke samandar mein,
Utar kar jane wala hai,
Yeh dil phir roney wala hai,

Tumhe kuch yaad hai jaana,
Isi pichle december mein,
Tumhi ne mujh ko likha tha,
Ke neya jo saal aye ga,
Us mein mil ke rehna hai,
Bohat se pyar ke vaadey,
Bohat si ankahi baten,
Humain tehreer karni hain,
Mohabbat ki neyi nazmein,
Humein is baar likhni hain,

Magar janaa,
Wohi raten,
Wohi shaamen,
Wohi khushbu,
Wohi nazmen,
Mujhe har waqt kehti hain,
December loat aya hai,
Magar, tera sathi nahin aya,
December ageya jaana..
December ageya jaana….



Yaad dilaata hai sardd mausam..

December Shayari

Yaad dilaata hai sardd mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..



Kabhi jo toot ke barsa December..

December Shayari

Kabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna, Bohat apna December,

Guzar jata hai sara saal yun to,
Nahin kat’ta magar tanha december,

Bhala barish say kia sairaab hoga,
Tumharay wasl ka piyasa december,

Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin,
Bus itna yaad hai ke tha December,

Jama poonji yehi hai umar bhar ki..
Meri tanhai aur Mera December!



Kiyu har baat pe koste hain log december ko..

December Shayari

Kiyu har baat pe koste hain log december ko ??
Kiya december ne kaha tha mohabbat karo !!



December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai..

December Shayari

December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..



December phir se aaya hai..

December Shayari

Phir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge,
December phir se aaya hai, phir se mil ke royen ge..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more December Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari