Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Kuch to tanhai ki raaton main sahara hota..

Designed Shayari

Kuch to tanhai ki raton main sahara hota,
Tum na hote na sahi zikr tumhara hota,

Tark-e-duniya ka yeh daava hai fazool hai,
Baar-e-hasti to zara sar se utara hota,

Woh agar aa na sake maut hi aayi hoti,
Hijr main koi to gham-khvar hamara hota,

Zindagi kitni massarat se guzarti ya rab,
Aish ki tarah agar gham bhi gavaara hota,

Azmat-e-girya ko kotah-nazzar kya samjhen,
Ashk agar ashk na hota to sitara hota,

Gham-e-ulfat jo na milta gham-e-hasti milta,
Kisi surat to zamane main guzara hota,

Kis ko fursat thi zamane ke sitam sehne ki,
Gar na us shokh ki ankhon ka ishara hota,

Koi hamdard zamane main na paya akhtar,
Dil ko hasrat hi rahi koi hamara hota..

کچھ تو تنہائی کی راتوں میں سہارا ہوتا - اختر شیرانی



Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko..

Designed Shayari

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko,
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko,

Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon,
Ab kisi shakhss ki aadat nahin hoti mujh ko,

Aesa badla hoon tere shehr ka paani pee kar,
Jhoot boloon to nadamat nahin hoti mujh ko,

Hai amaanat main khayanat so kisi ki khatir,
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,

Itna masroof hoon jeene ki havass main mohsin,
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..

اب تری یاد سے وحشت نہیں ہوتی مجھ کو - محسن نقوی



Jo dekhta hoon wohi bolne ka aadi hoon..

Designed Shayari

Jo dekhta hoon wohi bolne ka aadi hoon,
Main apne shehr ka sab se barra fasaadi hoon..



Roz kehna ke ab nahin karna..

Designed Shayari

Roz kehna ke ab nahin karna,
Roz phir rabta wahin karna,

Lakh yeh aqal aqal sikhlaye,
Is mohabbat ne kab yaqeen karna,

Saadgi dekhiye mohabat ki,
Ik dagha umar bhar makeen karna,

Door manzil se aur le jaye,
Usi rehbar ko hum-nasheen karna,

Aadaten khoob hain mohabbat ki,
Badshahon ko be-zameen karna,

Bas mohabbat yeh soch kar kijay,
Aap ko aur kuch nahin karna,

Shayari yuun kharab hai abrak,
Shab-e-hijran ko bhi haseen karna,

Apne likhe pe to amal karna,
Aesi ghalti na phir kahin karna..

روز کہنا کہ اب نہیں کرنا - اتباف ابرک



Oonchi imaarton se makaan mera ghir geya..

Designed Shayari

Oonchi imaarton se makaan mera ghir geya,
Kuch log mere hisse ka suraj bhi kha gaye..



Jo is shor se meer rota rahe ga..

Designed Shayari

Jo is shor se meer rota rahe ga,
To hamsaya kaahe ko sota rahe ga,

Main woh rone wala jahan se chala hoon,
Jise abr har saal rota rahe ga,

Mujhe kaam rone se aksar hai naseh,
Tu kab tak mere muh ko dhota rahe ga,

Bas ae girya ankhen teri kya nahin,
Kahan tak jahan ko dubota rahe ga,

Mere dil ne woh naala paida kiya hai,
Jaras ke bhi jo hosh khota rahe ga,

Tu yuun gaaliyan ghair ko shauq se de,
Hamen kuch kahe ga to hota rahe ga,

Bas ae meer mizhgan se ponch aansuon ko,
Tu kab tak yeh moti pirota rahe ga..

جو اس شور سے میرؔ روتا رہے گا - میر تقی میر



Jab kisi se koi gilaa rakhna..

Designed Shayari

Jab kisi se koi gilaa rakhna,
Samne apne aayina rakhna,

Yuun ujaalon se waasta rakhna,
Shamaa ke paas hi havaa rakhna,

Ghar ki tameer chahe jesi ho,
Us main rone ki bhi jagah rakhna,

Masjiden hain namaziyon ke liye,
Apne ghar main kahin khuda rakhna,

Milna julna jahan zaroori ho,
Milne julne ka hausla rakhna..

جب کسی سے کوئی گلہ رکھنا - ندا فاضلی



Khatir se ya lehaz se main maan to geya..

Designed Shayari

Khatir se ya lehaz se main maan to geya,
Jhooti qasam se aap ka iman to geya,

Dil le ke muft kehte hain kuch kaam ka nahin,
Ulti shikayeten huin ehsaan to geya,

Darta hoon dekh kar dil-e-be-arzu ko main,
Sunsan ghar yeh kyun na ho mehman to geya,

Kya aye rahat aayi jo kunj-e-mazaar main,
Woh valvala woh shauq woh armaan to geya,

Dekha hai but-kade main jo ae shaikh kuch na puch,
Iman ki to yeh hai ke iman to geya,

Ifsha-e-raaz-e-ishq main go zillaten huin,
Lekin usay jata to diya jaan to geya,

Go nama-bar se khush na hua par hazar shukr,
Mujh ko woh mere naam se pehchan to geya,

Bazm-e-aduu main surat-e-parwana dil mera,
Go rashk se jala tere qurban to geya,

Hosh-o-havaas o taab o tavaan daagh ja chuke,
Ab hum bhi jaane wale hain samaan to geya..

خاطر سے یا لحاظ سے میں مان تو گیا - داغؔ دہلوی



Thukrao ab ke pyar karo main nashe main hoon..

Designed Shayari

Thukrao ab ke pyar karo main nashe main hoon,
Jo chaho mere yaar karo main nashe main hoon,

Ab bhi dilaa raha hoon yaqeen-e-wafa magar,
Mera na aitbaar karo main nashe main hoon,

Ab tum ko ikhtiyar hai ae ehl-e-karvaan,
Jo raah ikhtiyar karo main nashe main hoon,

Girne do tum mujhe mera saaghar sambhal lo,
Itna to mere yaar karo main nashe main hoon,

Apni jise nahin usay shahid ki kya khabar,
Tum us ka intezar karo main nashe main hoon..

ٹھکراؤ اب کہ پیار کرو میں نشے میں ہوں - شاہد کبیر



Lab-e-khamosh se ifsha hoga..

Designed Shayari

Labb-e-khamosh se ifsha hoga,
Raaz har rang main ruswaa hoga,

Dil ke sehraa main chali sard havaa,
Abr gulzar pe barsa hoga,

Tum nahin the to sar-e-baam-e-khayal,
Yaad ka koi sitara hoga,

Kis tawaqoh pe kisi ko dekhen,
Koi tum se bhi haseen kya hoga,

Zeenat-e-halqa-e-aghosh bano,
Door betho ge to charcha hoga,

Jis bhi fankaar ka shahkar ho tum,
Us ne sadiyon tumhe socha hoga,

Aaj ki raat bhi tanha hi kaTTi,
Aaj ke din bhi andhera hoga,

Kis qadar karb se chaTtki hai kali,
Shaakh se gul koi toota hoga,

Umar bhar roye faqat is din,
Raat bheegi to ujala hoga,

Saari duniya hamen pehchanti hai,
Koi ham se bhi na tanha hoga..

لب_خاموش سے افشا ہوگا - احمد ندیم قاسمی


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari