Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Yeh kesa nasha hai main kis ajab khumar main hoon..

Designed Shayari

Yeh kesa nasha hai main kis ajab khumar main hoon,
Tu aa ke ja bhi chuka hai main intezar main hoon,

Makaan hai qabar jise log khud banate hain,
Main apne ghar main hoon ya main kisi mazaar main hoon,

Dar-e-faseel khula ya pahaRR sar se haTta,
Main ab giri hui galiyon ke marg-zar main hoon,

Bas itna hosh hai mujh ko ke ajnabi hain sab,
Ruka hua hoon safar main kisi dayaar main hoon,

Main hoon bhi aur nahin bhi ajeeb baat hai yeh,
Yeh kesa jabr hai main kis ke ikhtiyar main hoon,

Munir dekh shajar chaand aur deewaren,
Havaa khizaan ki hai sar par shab-e-bahaar main hoon..

یہ کیسا نشہ ہے میں کس عجب خمار میں ہوں - منیر نیازی



Zindagi yuun huyi bassar tanha..

Designed Shayari

Zindagi yuun huyi bassar tanha,
Qaafila sath aur safar tanha,

Apne saaye se chaunk jaate hain,
Umar guzri hai is qadar tanha,

Raat bhar baaten karte hain taare,
Raat kaate koi kidar tanha,

Doobne wale paar ja utre,
NaqshPaa apne chorr kar tanha,

Din guzarta nahin hai logon main,
Raat hoti nahi bassar tanha,

Hum ne darwaze tak to dekha tha,
Phir na jane gaye kidar tanha..

زندگی یوں ہوئی بسر تنہا - گلزار



Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai..

Designed Shayari

Hum pr tumhari chaah ka ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahin hai yeh ikraam hi to hai,

Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin,
Shauq-e-fazool o ulfat-e-nakaam hi to hai,

Dil muddayi ke harf-e-malamat se shaad hai,
Ae jan-e-jan yeh harf tera naam hi to hai,

Dil naaUmeed to nahin nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai,

Dast-e-falak main gardish-e-taqdeer to nahin,
Dast-e-falak main gardish-e-ayaam hi to hai,

Akhir to ek roz karegi nazar wafa,
Woh yar-e-khush-khisal sar-e-baam hi to hai,

Bheegi hai raat faiz ghazal ibtidaa karo,
Waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai..

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے - فیض احمد فیض



Rone se jo bharraas thi dil ki nikal gayi..

Designed Shayari

Rone se jo bhaRraas thi dil ki nikal gayi,
Ansuu bahaye chaar tabiyat sambhal gayi,

Main ne taras taras ke guzari hai sari umar,
Meri na ho gi jaan jo hasrat nikal gayi,

Bechain hoon main jab se nahin dil-lagi kahin,
Woh dard kya geya ke meri dil ki kal gayi,

Kehta hai chaaragar ke na paye ga indimal,
Acha hua ke zakham ki surat badal gayi,

Ae shamaa hum se soz-e-mohabbat ke zabt seekh,
Kambakht ek raat main saari pighal gayi,

Shakh-e-nihal-e-umar hamari na phal saki,
Yeh to hai woh kali jo nikalte hi jal gayi,

Dekha jo us se pyar se aghyar ki tarf,
Shayar qasam khuda ki meri jaan jal gayi..

رونے سے جو بھڑاس تھی دل کی نکل گئی - آغا شاعر قزلباش



Ae subh main ab kahan raha hoon..

Designed Shayari

Ae subh main ab kahan raha hoon,
Khawbon hi main sarf ho chuka hoon,

Sab mere bagher mutmayin hain,
Main sab ke bagher jee raha hoon,

Kya hai jo badal gayi hai duniya,
Main bhi to bohat badal geya hoon,

Go apne hazar naam rakh loon,
Pr apne sivaa main aur kya hoon,

Main jurm ka etiraf kar ke,
Kuch aur hai jo chupaa geya hoon,

Main aur faqat usi ki khawhish,
Akhlaq main jhoot bolta hoon,

Ik shakhs jo mujh se waqt le kar,
Aaj aa na saka to khush hua hoon,

Har shaks se be-niyaz ho ja,
Phir sab se yeh keh ke main khuda hoon,

Charke to tujhe diye hain maine,
Par khoon bhi main hi thookta hoon,

Roya hoon to apne doston main,
Pr tujh se to hans ke hi mila hoon,

Ae shakhs main teri justuju se,
Bezaar nahin hoon thak geya hoon,

Main sham o sehar ka naghma-gar tha,
Ab thak ke karahne laga hoon,

Kal pr hi rakho wafa ki baten,
Main aaj bohat bujha hua hoon..

اے صبح میں اب کہاں رہا ہوں - جون ایلیا



Marhala raat ka jab aye ga..

Designed Shayari

Marhala raat ka jab aye ga,
Jism saaye ko taras jaye ga,

Chal parri rasm jo kaj-fehmi ki
Baat kya phir koi kar paye ga,

Sach se qatrate agar log yahan,
Lafz mafhoom se qatraye ga,

Aitbar us ka hamesha karna,
Woh to jhooti bhi qasam khaye ga,

Tu na hogi to phir ae sham-e-firaaq,
Kon aa kar humen behlaye ga,

Hum usay yaad bohat ayen ge,
Jab usay bhi koi thukraye ga,

Kainat us ki meri zaat main hai,
Mujh ko kho kar woh kise paye ga,

Na rahe jab woh bhale din bhi qateel,
Yeh zamana bhi guzar jaye ga..

مرحلہ رات کا جب آئے_گا - قتیل شفائی



Nazar ke samne rehna nazar nahin aana..

Designed Shayari

Nazar ke samne rehna nazar nahin aana,
Tere sivaa yeh kisi ko hunar nahin aana,

Yeh intezar magar ikhtiyar main bhi nahin,
Pata to hai ke usay umar bhar nahin aana,

Yeh hijraten hain zameen-o-asman se agay ki,
Jo ja chuka hai usay laut kar nahin aana,

Zara si ghaib ki luknat zaban main lao,
Bagher us ke sukhan main assar nahin aana,

Har anay wala neya rasta dikhata hai,
Isi liye to humen raah pr nahin aana,

Zara woh dusri khirrki bhi khol kamre ki,
Nahin to taaza hawaa ne idhar nahin aana,

Karoon musaaften na-afreeda rahon ki,
Mujh jesa baad main awara-sar nahin aana..

نظر کے سامنے رہنا نظر نہیں آنا - آفتاب اقبال شمیم

نظر کے سامنے رہنا نظر نہیں آنا
ترے سوا یہ کسی کو ہنر نہیں آنا



Main hoon, dil hai, tanhayi hai..

Designed Shayari

Main hoon dil hai tanhayi hai

Main hoon, dil hai, tanhayi hai,
Tum bhi hote acha hotaa..

میں ہوں دل ہے تنہائی ہے
تم بھی ہوتے اچھا ہوتا



Main zindagi ka sath nibhata chala geya..

Designed Shayari

Main zindagi ka sath nibhata chala geya,
Har fikr ko dhuyen main urrata chala geya,

Barbadiyon ka sog manana fazool tha,
Barbadiyon ka jashan manata chala geya,

Jo mil geya usi ko muqaddar samajh liya,
Jo kho geya main us ko bhulata chala geya,

Gham aur khushi main farq na mehsuus ho jahan,
Main dil ko us maqaam pe lata chala geya..

میں زندگی کا ساتھ نبھاتا چلا گیا - ساحر لدھیانوی



Iss baar us ki ankhon main itne sawal thay..

Designed Shayari

Is baar us ki ankhon main itne sawal thay

Iss baar us ki ankhon main itne sawal thay,
Main bhi sawal ban ke sawalon main reh geya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari