Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Gale mila na kabhi chand bakht aisa tha..

Designed Shayari

Yeh aur baat ke woh lab thay phool se nazuk

Gale mila na kabhi chaand bakht aesa tha,
Hara-bhara badan apna darakht aesa tha,

Sitare siskiyan bharte the oss roti thi,
Fasaana-e-jigar-e-lakht-lakht aesa tha,

Zara na mom hua pyar ki hararat se,
ChaTTakh ke toot geya dil ka sakht aesa tha,

Yeh aur baat ke woh labb thay phool se nazuk,
Koi na seh sake lehja karakht aesa tha,

Kahan ki sair na ki tosan-e-takhayyul pr,
Hamen to yeh bhi suleman ke takht aesa tha,

Idhar se guzra tha mulk-e-sukhan ka shehzada,
Koi na jaan saka saaz-o-rakht aesa tha..

گلے ملا نہ کبھی چاند بخت ایسا تھا - شکیب جلالی



Asmaan tak jo naala pohancha hai..

Designed Shayari

Phir meri ankh ho gayi namnak

Asmaan tak jo naala pohancha hai,
Dil ki gehrayion se niklaa hai,

Meri nazron main hashar bhi kya hai,
Main ne un ka jalaal dekha hai,

Jalva-e-tur khawb-e-musa hai,
Kis ne dekha hai kis ko dekha hai,

Haye anjaam is safeene ka,
Nakhuda ne jise duboya hai,

Aah kya dil main ab lahuu bhi nahin,
Aaj ashkon ka rang pheeka hai,

Jab bhi ankhen milin un ankhon se,
Dil ne dil ka mizaaj pucha hai,

Woh jawani ke thi hareef-e-tarab,
Aaj barbad-e-jam-o-sahba hai,

Kaun uth kar chala muqabil se,
Jis taraf dekhiye andhera hai,

Phir meri ankh ho gayi namnak,
Phir kisi ne mizaaj pucha hai,

Sach to yeh hai majaz ki duniya,
Husn aur ishq ke sivaa kya hai..

آسماں تک جو نالہ پہنچا ہے - اسرار الحق مجاز



Jo log dushman-e-jan thay wohi saharay thay..

Designed Shayari

Khuda kare ke teri umar main gine jayen

Jo log dushman-e-jan thay wohi sahare thay,
Munaafe thay mohabbat main khasaare thay,

Huzur-e-shah bas itna hi arz karna hai,
Jo ikhtiyar tumhare thay, haq hamare thay,

Yeh aur baat baharen gurez-pa niklin,
Gulon ke hum ne to sadqe bohat utaare thay,

Khuda kare ke teri umar main gine jayen,
Woh din jo hum ne tere hijr main guzare thay,

Ab izn ho to teri zulf main piro dein phool,
Ke asmaan ke sitaare to isti-yare thay,

Qareeb aaye to har gul tha khana-e-zambur,
Nadeem duur ke manzar to pyare pyare thay..

جو لوگ دشمن_جاں تھے وہی سہارے تھے - احمد ندیم قاسمی



Almari se khat us ke purane nikal aye..

Designed Shayari

Almari se khat us ke purane nikal aye

Almari se khat us ke purane nikal aye,
Phir se mere chehre pe yeh daane nikal aye,

Maan beth ke takti thi jahan se mera rasta,
Mitti ke hattate hi khazaane nikal aye,

Mumkin hai hamen gaaon bhi pehchan na paye,
Bachpan main hi hum ghar se kamane nikal aye,

Ae rait ke zaray tera ehsan bohat hai,
Ankhon ko bhigone ke bahane nikal aye,

Ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte,
Hum tujh se bohat aagay zamane nikal aye,

Ek khauf sa rehta hai mere dil main hamesha,
Kis ghar se teri yaad na jaane nikal aye..

الماری سے خط اس کے پرانے نکل آئے - منور رانا



Ankhon main bass ke, dil main samaa ke chale gaye..

Designed Shayari

Aaye thay dil ki pyas bujhane ke vastay

Ankhon main bass ke, dil main samaa kar chale gaye,
Khawbeeda zindagi thi jagaa kar chale gaye,

Husn-e-azal ki shaan dikha kar chale gaye,
Ik vaaqiya sa yaad dilaa kar chale gaye,

Chehre tak aasteen woh la kar chale gaye,
Kya raaz tha ke jis ko chupaa kar chale gaye,

Rag rag main is tarah woh samaa kar chale gaye,
Jaise mujhi ko mujh se churaa kar chale gaye,

Samjha ke pastiyan mere auj-e-kamal ki,
Apni bulandiyan woh dikha kar chale gaye,

Apne farogh-e-husn ki dikhlaa ke vusaten,
Mere huduud-e-shauq barrhaa kar chale gaye,

Har shai ko meri khatir-e-nashad ke liye,
Aayina-e-jamal bana kar chale gaye,

Aaye they dil ki pyaas bujhaane ke vastay,
Ik aag si woh aur lagaa kar chale gaye,

Ab karobaar-e-ishq se fursat mujhe kahan,
Kaunain ka woh dard barrhaa kar chale gaye,

Shukr-e-karam ke sath yeh shikva bhi ho qubuul,
Apna sa kyun na mujh ko bana kar chale gaye,

Lab tharthraa ke reh gaye lekin woh ae jigar,
Jaate huye nigaah milaa kar chale gaye..

آنکھوں میں بس کے دل میں سما کر چلے گئے - جگرؔ مرادآبادی



Main kinaron ko rulane laga hoon..

Designed Shayari

Kitni asaani se mara geya tha

Main kinaron ko rulane laga hoon,
Phool dariya main bahane laga hoon,

Khel ko khatm karo jaldi se,
Warna main parda giraane laga hoon,

Dil se jaaon to batana mujh ko,
Teri mehfil se to jaane laga hoon,

Yuun lagi mujh ko mohabbat teri,
Jaise main bojh uthane laga hoon,

Pehle main apna uraata tha mazaq,
Aur ab khaak urrane laga hoon,

Kitni asaani se maara geya tha,
Kitni mushkil se thikaane laga hoon,

Shukr hai ishq ke sauday main bhi,
Ashk do-chaar kamaane laga hoon,

Waqt hoon aur bari muddat se,
Main tere saath zamaane laga hoon,

Aese khamosh hua hoon zahid,
Jaise main baat barrhane laga hoon..

میں کناروں کو رلانے لگا ہوں - زاہد شمسی



Apni dhun mein rehta hoon, Mein bhi tere jesa hoon..

Designed Shayari

Apni dhun mein rehta hoon, Mein bhi tere jesa hoon..

Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tere jesa hoon

O pichli rut ke sathi
Ab ke baras main tanha hoon

Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon

Mujh se ankh milaaye kon
Main tera aayina hoon

Tere sivaa mujhe pehne kon
main tere tan ka kaprra hoon

Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon

Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon

Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon

Apni lehr hai apna rog
Dariya hoon aur pyasa hoon

اپنی دھن میں رہتا ہوں - ناصر کاظمی



Khawb ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai..

Designed Shayari

Khawb ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai,
Aesi tanhayi ke mar jaane ko jee chahta hai,

Ghar ki vehshat se larazta hoon magar jaane kyun,
Shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai,

Doob jaon to koi mauj nishan tak na bataye,
Aesi nadee main utar jaane ko jee chahta hai,

Kabhi mil jaye to raste ki thakkan jaag parre,
Aesi manzil se guzar jaane ko jee chahta hai,

Wohi paimaan jo kabhi jee ko khush aya tha bohat,
Ussi paimaan se mukar jaane ko jee chahta hai..



Tamanaaon main uljhaaya geya hoon..

Designed Shayari

Tamanon main uljhaya geya hoon..

Tamanaaon main uljhaaya geya hoon,
Khilone de ke behlaaya geya hoon,

Hoon iss kuuche ke har zaray se waqif,
Idhar se mudatton aaya geya hoon,

Nahin uthte qadam kyun jaanib-e-dair,
Kisi masjid main behkaaya geya hoon,

Dil-e-muztar se pooch ae raunak-e-bazm,
Main khud aaya nahin laaya geya hoon,

Savera hai bohat ae shor-e-mehshar,
Abhi bekaar uthvaaya geya hoon,

Sataya aa ke pehron aarzuu ne,
Jo dum bhar aap main paaya geya hoon,

Kuja main aur kuja ae Shad duniya,
Kahan se kis jagah laaya geya hoon..

تمناؤں میں الجھایا گیا ہوں - شاد عظیم آبادی



Yaksu bhi lag raha hoon bikharne ke bawjuud..

Designed Shayari

Usko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe..

Yaksu bhi lag raha hoon bikharne ke bawjuud,
Puri tarah mara nahin marne ke bawjuud,

Ik dhuup si tani hui badal ke aar-paar,
Ik pyaas hai ruki hui jharne ke bawjuud,

Us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe,
Masruuf tha main kuch bhi na karne ke bawjuud,

Pehla bhi dusra hi kinara ho jis tarah,
Halat wohi hai paar utarne ke bawjuud,

Apni taraf hi rukh tha wahan vardaat ka,
Ilzaam us ke naam pe dharne ke bawjuud,

Hairaan hoon mujh main itni yeh himmat kahan se ayi,
Kar hi geya hoon kaam jo darne ke bawjuud,

Jaisa bhi yeh safar ho zara ghaur kijiye,
Kaisa ravaan-davaan hoon thehrne ke bawjuud,

Nikla nahin hai koi nateeja yahan zafar,
Karne ke bawjuud na bharne ke bawjuud..

یکسو بھی لگ رہا ہوں بکھرنے کے باوجود - ظفر اقبال


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari