Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai..

Designed Shayari

Is sheher main har shakss pareshan sa kyun hai

Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,
Iss sheher main har shakss pareshaan sa kyun hai,

Dil hai to dharrakne ka bahaana koi dhoondhe,
Pathar ki tarah be-hiss o be-jaan sa kyun hai,

Tanhaayi ki yeh kaun si manzil hai rafiqo,
Ta hadh-e-nazar ek bayabaan sa kyuun hai,

Hum ne to koi baat nikaali nahin gham ki,
Woh zuud-pashemaan pashemaan sa kyun hai,

Kya koi naii baat nazar aati hai hum main,
Aayina hamen dekh ke hairaan sa kyun hai..

سینے میں جلن آنکھوں میں طوفان سا کیوں ہے



Phir hareef-e-bahaar ho bethe..

Designed Shayari

Sari Duniya Se Door Ho Bethe

Phir hareef-e-bahaar ho bethe,
Jaane kis kis ko aaj ro bethe,

Thi magar itni raayegan bhi na thi,
Aaj kuch zindagi se kho bethe,

Tere dar tak pohanch ke laut aaye,
Ishq ki aabruu dubo bethe,

Sari duniya se duur ho jaye,
Jo zara tere paas ho bethe,

Na gayi teri berukhi na gayi,
Hum teri aarzuu bhi kho bethe,

Faiz hota rahe jo hona hai,
Sher likhte raha karo bethe..

Phir hareef-e-bahar ho bethe - Faiz Ahmad Faiz



Saare rishte tabah kar aya..

Designed Shayari

Main raha umar bhar juda khud se

Saare rishte tabaah kar aya,
Dill-e-barbaad apne ghar aya,

Akhirash khoon thuukne se mian,
Baat main teri kya assar aya,

Tha khabar main ziyan dill-o-jaan ka,
Har taraf se main bekhabar aya,

Ab yahan hosh main kabhi apne,
Nahin aaon ga main agar aya,

Main raha umar bhar juda khud se,
Yaad main khud ko umar bhar aya,

Woh jo dil naam ka tha ek nafar,
Aaj main us se bhi mukar aya,

Muddaton baad ghar geya tha main,
Jaate hi main wahan se ddar aya..

Saare rishte tabah kar aya - Jon Elia



Bhulaa bhi de usay jo baat ho gayi pyare..

Designed Shayari

Bhulaa bhi de usay jo baat ho gayi pyare,
Naye charaagh jalaa, raat ho gayi pyare,

Teri nigah-e-pasheman ko kaise dekhoon ga,
Kabhi jo tujh se mulaqat ho gayi pyare,

Na teri yaad, na duniya ka gham, na apna khayal,
Ajeeb surat-e-halaat ho gayi pyare,

Udaas udaas hain shamen, bujhe bujhe saaghar,
Yeh kesi sham-e-kharabaat ho gayi pyare,

Wafa ka naam na le ga koi zamane main,
Hum ehl-e-dil ko agar maat ho gayi pyare,

Tumhen to naaz bohat doston pe tha jalib,
Allag-thalagg se ho kya baat ho gayi pyare..

Bhula bhi de usay jo baat ho gayi pyare - Habib Jalib



Main samjha meri ghuttan mitaane aya tha..

Designed Shayari

woh jhonka to diya bhujane aya tha

Main samjha meri ghuttan mitaane aya tha,
Woh jhonka to dia bhujane aya tha,

Mausam-e-gul us baar bhi aya tha lekin,
Kya aya bas khaak urraane aya tha,

Chashm-e-zadn main sari basti doob gayi,
Dariya kis ki pyas bhujaane aya tha,

Mehr-e-nishan, zarkar-e-qabaa, woh yar mera,
Mujh ko sunehre khawb dikhaane aya tha,

Khali chatri dekh fasurda laut geya,
Bichra panchi apne thikaane aya tha..

Main samjha meri ghuttan mitaane aya tha



Pyar karne ke liye geet sunaane ke liye..

Designed Shayari

ik khazana hai mere pas lutane ke liye

Pyar karne ke liye geet sunaane ke liye,
Ik khazaana hai mere paas lutaane ke liye,

Yaad ke zakham hain, vadon ki dhanak hai, main hoon,
Yeh bohat hai teri tasveer banane ke liye,

Hum bhi kya log hain khushbu ki riwayat se alag,
Khud pe zahir na huye, tujh ko chupaane ke liye,

Rasta rok hi leta hai taghayur ka ghubaar,
Warna har raah khuli hai yahan jaane ke liye,

Kitni sadiyon ka lahuu safah-e-maqtal pe raha,
Aik sachayi ko tehreer main laane ke liye,

Tark-e-duniya ka iraada hi kiya tha ke woh shakhss,
Aa geya khawhish-e-duniya ko jagaane ke liye,

Aik hi aag ka eendhan nahin bhujne pata,
Dusri aag hai tayaar jalane ke liye,

Ab kahin taza musafat pe nikalte hain ‘saleem’,
Ab to vaada bhi nahin koi nibhane ke liye..

Pyar karne ke liye geet sunaane ke liye.. Saleem Kausar



Ibn-e-maryam hua kare koi..

Designed Shayari

Na suno gar bura kahe koi

Ibn-e-maryam hua kare koi,
Mere dukh ki davaa kare koi,

Sharaa-o-aayin par madaar sahi,
Aese qatil ka kya kare koi,

Chaal jaise karri kamaan ka teer,
Dil main aese ke ja kare koi,

Baat par vaan zabaan kaTti hai,
Woh kahen aur suna kare koi,

Bak raha hoon junoon main kya kya kuch,
Kuch na samjhe khuda kare koi,

Na suno gar bura kahe koi,
Na kaho gar bura kare koi,

Rok lo gar ghalat chale koi,
Bakhsh do gar khataa kare koi,

Kaun hai jo nahin hai haajat-mand,
Kisi ki haajat ravaa kare koi,

Kya kiya khizr ne sikandar se,
Ab kise rahnuma kare koi,

Jab tawaqqoh hi uth gayi ghalib,
Kyun kisi ka gilaa kare koi..

Ibn-e-Maryam hua kare koi.. Ghalib



Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon..

Designed Shayari

Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon

Unhe main teri tamanna ka fun sikhata hoon,
Jo log teri tamanna se darne lagte hain..



Har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaye..

Designed Shayari

Kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaye

Har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaye,
Kabhi to hauslaa kar ke nahin kaha jaye,

Tumhara ghar bhi isi shehr ke hisaar main hai,
Lagi hai aag kahan, kyun pata kiya jaaye,

Juda hai heer se ranjha kayi zamanon se,
Naye siray se kahani ko phir likha jaye,

Kaha geya hai sitaron ko chhuna mushkil hai,
Yeh kitna sach hai kabhi tajarba kiya jaye,

Kitaben yuun to bohat si hain mere baray main,
Kabhi akele main khud ko bhi parrh liya jaye..

Har aik baat ko chup-chap kyun suna jaye



Jo mere bass main hai uss se zeyada kya karna..

Designed Shayari

Jo mere bass main hai us se zeyada kya karna..

Jo mere bass main hai us se zeyada kya karna,
Safar to karna hai us ka iraada kya karna,

Bas ek rang hai dil main kisi ke hone se,
Ab apne-aap ko is se bhi saada kya karna,

Jab apni aag hi kaafi hai mere jeene ko,
To mehhr-o-maaah se bhi istifaada kya karna,

Tere labon ke sivaa kuch nahin mayassar,
So fikr-e-saghar-o-saaqi-o-baada kya karna,

Tamaam kashtiyan saahil pe hain abhi thehri,
Abhi se in ko jalane ka vaada kya karna..

Safar to karna hai us ka iraada kya karna..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari