Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



tu agar ab bhi sar e baam nahin aye ga

Designed Shayari

tu agar ab bhi sar e baam nahin aye ga
cheekhna mera kisi kaam nahin aye ga

kon karta hai mere dost ayadat aese
tere rone se to araam nahin aye ga

saare darwaze khule choR diye hain maine
jao tum par koi ilzaam nahin aye ga



jagta rehta hoon aur khiRki khuli rehti hai

Designed Shayari

jagta rehta hoon aur khiRki khuli rehti hai
kya khushi hai ke museebat hi paRi rehti hai

itni deewaren gira kar bhi yehi dekha hai
ek deear meri raah main khaRi rehti hai

bagh main bikhre huye rang bohat zalim hain
baaz goshon main to veerani paRi rehti hai

hijr main vasl ke phal-phool khile rehte hain
shaakh bichRe huye mausam se bhari rehti hai

ek veerana hai jo sheher ko kha jata hai
ek basti hai jo jungle main basi rehti hai

ab woh khush-chehra si khatoon kahan par hogi
fikr si koi mere jee ko lagi rehti hai

hadh se baRhti hui vehshat bhi ajab shai hai wafa
mere chehre pe kisi gham ki hansi rehti hai

mausam-e-girya guzar jata hai maqsood wafa
meri dewaar pe barish ki nami rehti hai



tumhare hijr ka anjam khoobsurat hai

Designed Shayari

tumhare hijr ka anjam khoobsurat hai
bohat udaas magar shaam khoobsurat hai

phir is ke baad yeh rasta kahan ko jata hai
yeh zindagi to koi gaam khoobsurat hai

tu jis tarah se haseen hai zamane bhar se
usi tarah se tera naam khoobsurat hai

nahin zaroori ke har baat ki wazahat ho
kahin kahin pe yeh ibhaam khoobsurat hai

main is liye deta safayi apni wafa
mere hareef ka ilzaam khoobsurat hai



jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi

Designed Shayari

jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi
ab khaak uRane ko beThe hain tamashayi

ab dil ko kisi karwaT araam nahin milta
ik umar ka rona hai do din ki shanasaayi

ab vusat e aalam bhi kam hai meri wehshat ko
kya mujh ko Daraye gi is dasht ki pehnayi

jee main hai ke is dar se ab hum nahin uthen ge
jis dar pe na jane ki so baar qasam khayi



baat reh sakti thi ho sakta tha samjhota bhi

Designed Shayari

baat reh sakti thi ho sakta tha samjhota bhi
dil kisi baat pe aamaada magar hota bhi

marne wale tu koi rishta to rehne deta
main tujhe yaad bhi karta main tujhe rota bhi



tamam sheher ko hulia bata diya gaya hai

Designed Shayari

tamam sheher ko hulia bata diya gaya hai
mere faraaar ko mushkil bana diya gaya hai

gharon main bethe huye kamyabi chahte hain
humen duaon ka chaska laga diya gaya hai

gale se lag ke kisi aur ke main sochta hoon
kahan ka joR kahan par laga diya gaya hai

humen talashne walon ka rok kar rasta
hamare baray tajassus baRha diya gaya hai



ginti ke mere yaar hain aur yaar bhi kitne

Designed Shayari

ginti ke mere yaar hain aur yaar bhi kitne
choTi si kahani ke hon kirdaar bhi kitne

munkir ko wazahat ke takaluf ki zaroorat
thoRe se to inkaar hain inkaar bhi kitne

aese bhi nahin hain ke usay jeet ke lauTen
maana zara hoshyaar hain, hoshyaar bhi kitne



khuda ko logon ke nazdeek lana chahta tha

Designed Shayari

khuda ko logon ke nazdeek lana chahta tha
main apne gaon main masjid banana chahtha tha

kuch is liye bhi meri khudkushi zaroori thi
main aik umar ka jhagRa miTaana chahta tha

main chahta tha woh rotay main muskura uthe
main us ki aankh se misra churana chahta tha

kisi mazaar ki zeenat bana diya gaya hai
main jis charagh ko suraj banana chahta tha

main is liye bhi zara fasle pe theher gaya
woh mujh se mil ke bohat door jana chahta tha

main chahta tha ke woh mujh se dil ki baat kare
main aik ghaar se pathar haTana chahta tha

ab us ki aankh nahin lag rahi kahin aami
jo saray sheher ki neendain uRana chahta tha



neend ati nahin hai sone ko

Designed Shayari

neend ati nahin hai sone ko
ik bahana mila hai rone ko

tujh ko bhi alvida kiya hum ne
aur kya reh gaya hai khone ko



charaagh jalne lage to hawaa nahin deta

Designed Shayari

charaagh jalne lage to hawaa nahin deta
faqeer hoon main kabhi baddua nahin deta

to kya isi liye duniya nahin tawazun main
woh jurm dekh ke foran sazaa nahin deta

zaroor lutf ka pehlu hai mere jalne main
wagarna uth ke mujhe woh bhujha nahin deta

tu aik bar to kehta ke kash aesa ho
main asmaan zameen se mila nahin deta

yeh kitna waazeh ishara hai bakht Ddhalne ka
main bheek doon to bhikari dua nahin deta

main khaali hath kabhi lauT-ta nahin miqdad
mujhe khushi ke elawa woh kya nahin deta


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari