Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



jane kis ki thi khataa yaad nahin

Designed Shayari

jane kis ki thi khataa yaad nahin
hum huye kese judaa yaar nahin

aik shola sa uTha tha dil main
jane kis ki thi sadaa yaad nahin

aik naghma sa suna tha maine
kon tha shola navaa yaad nahin

roz dohraate they afsana-e-dil
kis tarah bhool gaya yaad nahin

ik faqat yaad hain jana un ka
aur kuch is ke siwa yaad nahin

tu meri jaan-e-tamana thi kabhi
ae meri jaan-e-wafa yaad nahin

haal-e-dil kaise tabassum ho bayan
jaane kya yaad hai kya yaad nahin



palak pe Thehra hua namm sanbhaalta hai mujhe

Designed Shayari

palak pe Thehra hua namm sanbhaalta hai mujhe
yeh intezar bhi kya kamm sanbhaalta hai mujhe

kabhi gumaan na karna ke main akela hoon
bichaRrne wale tera gham sanbhaalta hai mujhe

chuRra ke hath mera sabar aazmata hai
gale laga ke phir aikdum sanbhaalta hai mujhe

gham-e-hussain mera gham nihaal karta hai
misal-e-dost moharram sanbhaalta hai mujhe

jo hijr o visaal ke mabain aik mausam hai
udasiyon ka woh mausam sanbhaalta hai mujhe

sanbhaalta hai mujhe kuch yeh kaar-e-girya aur
tera gulaab bhi baham sanbhaalta hai mujhe



sitara-war jale phir bujha diye gaye hum

Designed Shayari

sitara-war jale phir bujha diye gaye hum
phir is ke baad nazar se giraa diye gaye hum

azeez thay humen nau-varidan-e-kucha-e-ishq
so peeche haTte gaye rasta diye gaye hum

shikast o fateh ke sab faisle huye kahin aur
misal-e-maal-e-ghaneemat luTa diye gaye hum

zameen farsh-e-gul-o-lala se sajayi gayi
phir is zameen ki amanat bana diye gaye hum

duayen yaad kara di gayi theen bachpan main
so zakhm khate rahe aur dua diye gaye hum



yeh tum pe ghussa tha jo khud pe waar kar rahe hain

Designed Shayari

yeh tum pe ghussa tha jo khud pe waar kar rahe hain
hum aik teer se do do shikaar kar rahe hain



tumhare baad bassar ho gi aah-o-zaari main

Designed Shayari

tumhare baad bassar ho gi aah-o-zaari main
faqeer eid manayen ge sogwaar-i main



kar loon ga jama daulat o zar, us ke baad kya

Designed Shayari

kar loon ga jama daulat o zar, us ke baad kya ?
le loon ga shandaar sa ghar, , us ke baad kya ?

mai ki talab jo hogi to ban jaon ga main rind
kar loon ga maikadon ka safar, us ke baad kya ?

hoga jo shauq husn se raaz o niaz ka
kar loon ga gesuyon main sahar, us ke baad kya ?

sher o sukhan ki khoob sajaon ga mehfil-en
duniya main ho ga naam magar, us ke baad kya ?

mauj aye gi to saare jahan ki karoon ga sair
wapis wohi purana nagar, us ke baad kya ?

ik roz maut zeest ka dar khaTkhaTaye gi
bujh jaye ga charagh e qamar, us ke baad kya ?

uthi thi khaak, khaak se mil jaye gi wahin
phir us ke baad kis ko khabar, us ke baad kya ?



paiRr jo ba-samar nahin hota

Designed Shayari

paiRr jo ba-samar nahin hota
woh kabhi moatbar nahin hota

dil se jab tak nahin nikalti hai
baat main kuch asar nahin hota

mujh ko manzil kabhi nahin milti
tu agar humsafar nahin hota

aik dar se jo lau lagata hai
woh kabhi darbadar nahin hota

zakham sab ko bhala dikhayen kyun
har koi charagar nahin hota

main kiran bas khuda se Ddarti hoon
mujh ko logon ka Ddar nahin hota



har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho

Designed Shayari

har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho
ya rab bichaRr-te waqt bhi woh aankh num na ho

yeh kya ke saari raat kaTe jagte huye
aur phir bas aik sher ho us main bhi dum na ho

yeh kya ke aik dar se bandhe hon tamaam umar
yeh kya ke aik baar bhi nazar -e- karam na ho

yah kya ke sab se daad ke talib ho shayaro
yaani ke woh bhi roye ke jise koi gham na ho

ae kash ke apni jang chiRre us badan ke sath
aur dono samt aman ka koi alam na ho

sansain ukhaRr ukhaRr kar chalen par chalen zaroor
hum main agar judai ho to kabhi aik dum na ho



agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon

Designed Shayari

agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon
magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon

woh raiza raiza mere badan main utar raha hoon
main qatra qatra usi ki ankhon ko pee raha hoon

teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon

khuli hain ankhen magar badan hai tamaam pathar
koi bataye main mar chuka hoon ke jee raha hoon

kahan mile gi misaal meri sitamgari ki
ke main gulab-on ke zakham kanTon se see raha hoon

na puch mujh se ke sheher walon ka haal kya tha
ke main to khud apne ghar main bhi do ghaRi raha hoon

mila to beete dinon ka sach us ki ankhon main tha
woh ashnaa jis se muddaton ajnabi raha hoon

bhula de mujh ko ke bewafayi bajaa hai lekin
ganwaa na mujh ko ke main teri zindagi raha hoon

woh ajnabi ban ke bhi ab mile to kya hai mohsin
yeh naaz kam hai ke main bhi us ka kabhi raha hoon



abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga

Designed Shayari

abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga
hamare baad najane tumhara kya hoga

hamara khud pe guzara nahin hai muddat se
hamare sath kisi ka guzara kya hoga

yeh dekhne ke liye kyun na aik din mar jayen
hamare sath usi din dobara kya hoga

woh jis ke nisf ne pagal kiya hai duniya ko
main sochta hoon haqeeqat main sara kya hoga

hamare naqsh -e- qadam se qadam milao magar
hamara kuch na bana to tumhara kya hoga

zaban lipTi hui hai gale se murde ki
sawal yeh nahin kaise, pukara kya hoga

woh mil ke jaye to lagta nahin mila hai kabhi
agar kinara kare to kinara kya hoga

pehen liya hai usse ankh moond kar maine
wagarna sochta rehta utara kya hoga

na us ko milne main dilchaspi hai na mujh ko magar
hum intezar main hai istikhara kya hoga

jinhe pata tha sabhi kuch woh log bhi na rahe
humen pata hi nahin kuch hamara kya hoga


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari