Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



Aah ko chahiye ik umar asar hote tak..

Designed Shayari

Aah ko chahiye ik umar asar hote tak,
Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hote tak,

Dam-e-har-mauj main hai halqa-e-sad-kam-e-nahang,
Dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hote tak,

Ashiqi sabar-talab aur tamanna betab,
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hote tak,

Hum ne mana ke taghaful na karo ge lekin,
Khaak ho jayen ge hum tum ko khabar hote tak,

Yak nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil,
Garmi-e-bazm hai aik raqs-e-sharar hote tak,

Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg ilaj,
Shama har rang main jalti hai sehar hote tak..

آہ کو چاہئے اک عمر اثر ہوتے تک



Main bhool jaon tumhen ab yehi munasib hai..

Designed Shayari

Main bhool jaon tumhen
ab yehi munasib hai
magar bhulana bhi chahoon
to kis tarah bhoolon
ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khawb nahin
yahan to dil ka yeh alam hai kya kahoon
kambakht!
bhula na paya woh silsila
jo tha hi nahin
woh ik khayal
jo awaz tak geya hi nahin
woh ek baat
jo main keh nahin saka tum se
woh ek rabt
jo hum main kabhi raha hi nahin,
mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin

میں بھول جاؤں تمہیں اب یہی مناسب



Main umar bhar jawab nahin de saka adam..

Designed Shayari

Main umar bhar jawab nahin de saka adam,
Woh ik nazar main itne sawalaat kar gaye..



Tum intezar ke lamhe shumar mat karna..

Designed Shayari

Tum intezar ke lamhe shumar mat karna,
Diye jalaye rakhna singar mat karna,

Meri zaban ke mausam badalte rehte hain,
Main aadmi hoon mera aitbar mat karna,

Kiran se bhi hai zeyada zara meri raftar,
Nahin hai ankh se mumkin shikar mat karna,

Tumhen khabar hai ke taqat mera waseela hai,
Tum apne aap ko be-ikhteyar mat karna,

Tumhare sath mere mukhtlif marasim hain,
Meri wafa pe kabhi inkhisar mat karna,

Tumhen bataon yeh duniya gharz ki duniya hai,
Khuloos dil main hai agar to pyar mat karna,

Milen ge raah main asim ko humsafar kayi aur,
Woh aa raha hai magar intezar mat karna..

تم انتظار کے لمحے شمار مت کرنا - عاصمؔ واسطی



Tere aane ki kya umeed magar..

Designed Shayari

Tere aane ki kya umeed magar,
Kese keh doon ke intezar nahin..



Har lamha zulmaton ki khudai ka waqt hai..

Designed Shayari

Har lamha zulmaton ki khudai ka waqt hai,
Shayad kisi ki chehra-numai ka waqt hai,

Kehti hai sahilon se yeh aate samay ki dhoop,
Hoshyar nadiyon ki chaRRhayi ka waqt hai,

Hoti hai sham ankh se aansu rawan huye,
Yeh waqt qaidiyon ki rehayi ka waqt hai,

Koi bhi waqt ho kabhi hota nahin juda,
Kitna aziz us ki judai ka waqt hai,

Dil ne kaha ke sham-e-shab-e-vasl se na bhaag,
Ab pak chuki hai fasl kaTTayi ka waqt hai,

Main ne kaha ke dekh yeh main yeh hava yeh raat,
Us ne kaha ke meri paRRhayi ka waqt hai..

ہر لمحہ ظلمتوں کی خدائی کا وقت ہے - احمد مشتاق



Aate aate mera naam se reh geya..

Designed Shayari

Aate aate mera naam sa reh geya,
Us ke honton pe kuch kampta reh geya,

Raat mujrim thi daaman bacha le gayi,
Din gawahon ki saff main khaRRa reh geya,

Woh mere samne hi geya aur main,
Raste ki taraf dekhta reh geya,

Jhoot wale kahin se kahin baRRh gaye,
Aur main tha ke sach bolta reh geya,

Andhiyon ke iraade to ache na thay,
Yeh dia kese jalta hua reh geya,

Us ko kandhon pe le ja rahe hain waseem,
Aur woh jeene ka haq mangta reh geya..

آتے آتے مرا نام سا رہ گیا - وسیم بریلوی



Tum kahan jao ge socho mohsin..

Designed Shayari

Tum kahan jao ge socho mohsin,
Log thak-haar ke ghar jaate hain..



Acha khaasa bethe bethe gum ho jata hoon..

Designed Shayari

Acha khaasa bethe bethe gum ho jata hoon,
Ab main aksar main nahin rehta tum ho jata hoon..



Khayal-o-khawb hui hain mohabten kesi..

Designed Shayari

Khayal-o-khawb hui hain mohabten kesi,
Lahuu main naach rahi hain yeh vehshaten kesi,

Na shab ko chand hi acha na din ko mehr acha,
Yeh hum pe beet rahi hain qayamaten kesi,

Woh sath tha to khuda bhi tha meherban kya kya,
BichaRR geya to huyi hain adavaten kesi,

Azaab jin ka tabassum sawab jin ki nigah,
Khinchi hui hain pas-e-jan yeh suraten kesi,

Hawa ke dosh pe rakhe huye charagh hain hum,
Jo bujh gaye to hava se shikayeten kesi,

Jo be-khabar koi guzra to yeh sadaa de di,
Main sang-e-rah hoon mujh par inayeten kesi,

Nahin ke husn ki nairangiyon main taaq nahin,
Junoon bhi khel raha hai siyasten kesi,

Jo abr hai wohi ab sang-o-khisht lata hai,
Fazaa yeh ho to dilon main nazakten kesi,

Yeh daur-e-be-hunaran hai bachaa rakho khud ko,
Yahan sadaqaten kesi karamaten kesi..

خیال_و_خواب ہوئی ہیں محبتیں کیسی - عبید اللہ علیم


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari