Dhoka Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dhoka Shayari Poetry. Feel free to add your own Dhoka Shayari Shayari here.

Dhoka Shayari Collection

Dhoka Shayari is poetry on people who are heartless and often ditch others. Dhoka Shayari in urdu is loved by pakistani people. So we have lost of Dhoka poetry for our visitors.



Tath mein pathar thamaa diye..

Dhoka Shayari

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,
Phir sheher bhar ke hath mein pathar thamaa diye..

(thamaa;hand over)



Yaaron ki tabiyat se shanasaa hoon..

Dhoka Shayari

Apne yaaron ki tabiyat se shanasaa hoon Asad,
Ab taluq pe mujhe waar diya jaye ga..

(shanasaa;aware of)



Us Shakhs Se Mil Kar Ehsaas Hua Hai

Dhoka Shayari

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai,
Jo Pairr Bare Hote Hain Saya Nahin Karte..

(pairr;trees)



Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos

Dhoka Shayari

Ab Bhi Baaki Hai Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos,
Is Se Pehle Bhi Humain Yehi Dhoka Hua..



Hoslay hi Jawab Dainay lagay

Dhoka Shayari

Hoslay hi Jawab Dainay lagay,
Is Qadar Us nay Aazmaya Mujhy ….!!!!



Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usay..

Dhoka Shayari

Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usay,
Pehle Pagal Kiya Aur Phir Mujhe Pathar Maaray…



Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon..

Dhoka Shayari

Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,

Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,

Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,

Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,

Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,

Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..

Mirza Hussnain Azam



Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai

Dhoka Shayari

Bhool Jaana Tou Sub Ko Aata Hai,
Kuch Tou Dunya Se Munfarid Kartay !!



Mery mehboob ne wada kia hai

Dhoka Shayari

Mery mehboob ne wada kia hai panchve’n din ka,
kisi se sun kiya hoga ye duniya chaar din ki hai..!

(panchve’n:fifth)



Lehron se khailna to sagar ka shoq hai

Dhoka Shayari

Lehron se khailna to sagar ka shoq hai,
Lagti hai chott kaise, kinaroon se poochiye…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dhoka Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari