Urdu Dosti /Friendship Shayari

This website contains Urdu Dosti /Friendship Shayari. Feel free to add your own Urdu Dosti /Friendship Shayari here.

Advertisement


Dosti /Friendship Shayari

Urdu Dosti Shayari is poetry on friendship. Some say it Friendship Shayari and some call it Dosti Shayari. Urdu Friendship Poetry is used to express your love with friends. We have collected a huge collection of Urdu Friendship Poetry for you, so you can read it and send them to your friends.



Dosti ki tadap

Dosti /Friendship Shayari

Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.



Abhi to jaan baaqi hai

Dosti /Friendship Shayari

Ye kis ny keh diya tum sy k Bazi haar bethy hum….

Ay Dost

Mohhabat Mein luttanay ko abhi to jaan baqi he…..



Usay itna na chaha kar

Dosti /Friendship Shayari

Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo ek din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar



Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Dosti /Friendship Shayari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Ta’aluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Humhay Zindagi Kay Kaen Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari



Yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise

Dosti /Friendship Shayari

yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai “daanish”
ek bejurm sazaa ho jaise



Dosti to sirf ek itefaaq hai

Dosti /Friendship Shayari



Dosti ka har ilzaam

Dosti /Friendship Shayari



Jaan se pyaari hai muskaan tumhaari

Dosti /Friendship Shayari



Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa

Dosti /Friendship Shayari



Jaan hai mujhko zindagi se pyaari

Dosti /Friendship Shayari



Dosti achchi ho toh rang laati hai

Dosti /Friendship Shayari



Rutho na a dost

Dosti /Friendship Shayari

Rutho na a dost k fir!
roth jany waly maan b jaien tu
manany waly thak sy jaty hyn
aur hamary sath zindagi k saffer mien
chalny k qabil nahi rehty
khafa na ho a sathi k fir!
khafgion k mosum dyr tak nahi telty
dil-o-jaan mien,ruh k ander bohat hi
bohat hi door ja ker basyra kerty hyn
naraz na ho a hamdam k fir!
narazgi kadurraton ko janm dyti hy
kadurratien dil ki fir nahi jatien
aur!
zindagi ki shaffaf rahien dhundli-o-gurd aalood ho jati hyn
so myry dost ,myry sathi,myry hamdam!
mujhy aatbar ka maan do!



Kabhi Dosto se

Dosti /Friendship Shayari

Zindagi mein baatein bahut kar liye?
Sun liye hai zawab bhi?kabhi Dosto se, Kabhi Dushmano se,
Lavso ke is bhir mein ghutan si hoti hai ab to?.
Mujhe sannata chahiye?.. ?
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi??..
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye?.. ?.
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta??. .
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..
Rahegi tamannaye, tamannaye to rahti hai??.
Par halaat yeh hai ki ab saare Hosh?o?Hawas kho chuke??. .
Is Bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh Dil?o?Dimaag??
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi??
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh Duniya?? ..
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai??
Mujhe Andhera Chahiye?..
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye?..



Do pyase dil aik huwe hain aise

Dosti /Friendship Shayari

Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise

Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise

Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise

Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera

Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise

Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye

Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise



Koi Khaas Nahi

Dosti /Friendship Shayari

Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena ?Koi Khaas Nahi?
Ek Dost Hay Kaccha Paka Sa
Ek Jhoot Hay Aadha Sacha Sa
Jazbaat Ko Dhaanpay Ek Parda
Bus Ek Bahana Accha Sa
Jeevan Ka Aisa Sathi Hay
Jo Door Nah Ho K Pass Nahi
Koi Tum Say Poochay Kon Hoon Main
Tum Keh Dena Koi Khaas Nahi

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dosti /Friendship Shayari.



Search Urdu Poetry




RSS Shayari

  • Mera dil udas kyun hai.. May 16, 2012
    Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu, Mujhse koi na pucho mera dil udas kyun hai. … […]
  • Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue May 16, 2012
    Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue, Maine Mohabbat Mein ‘TujhPe’ Kuch Yu’n Bharosa Kiya Tha..!! … […]
  • Main Bhool Gaya Hon Tujhe? May 16, 2012
    Kia Kaha..?? Main Bhool Gaya Hon Tujhe..? Nahi…! Nahi …! Dil Abhi Dharakta Hai… … […]
  • Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi May 16, 2012
    Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi, Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!! … […]
  • Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko May 16, 2012
    Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko Baada […]
  • Mohabbat khawb hoti hai.. May 16, 2012
    Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai, Agar koi pooch bethe tou, Mohabbat raaz hoti hai.. … […]
  • Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona May 15, 2012
    Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona, Ek Sitara Bhi Mere Khayal ka Baqi Na Rahe Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona, Darr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Cheen Na Le Tera Yeh Roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona, Baad Main Log Gira Dain Tu Koi Baat Nahi Har Taraf Piyar Ki Deewar Utha kar Soona, Bhool Jaao […]
  • Apni tanhai mere naam pe abaad kare May 15, 2012
    Apni tanhai mere naam pe abaad kare, Kaun hoga jo mujhe uski tarah yad kare.. … […]
  • Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad May 15, 2012
    Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ???? Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad … […]
  • Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai.. May 15, 2012
    Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai, bas kuch hi khushnasib hote hai, jinhe mohabat milti hai. … […]