Urdu Dukhi Shayari
This website contains Urdu Dukhi Shayari. Feel free to add your own Urdu Dukhi Shayari here.Advertisement
Dukhi Shayari
Dukhi Poetry is poetry on sorrowness and grieving. Urdu Dukh Shayari is hugely loved in pakistan. We have lots of Dukh Poetry and Dukhi Shayari for you to read and enjoy.
Jawani Kidhr Gai
Dukhi Shayari
Be-vajah kham nahin hai kamar main meri,
jhuk jhuk ke dhundta hun jawani kidhar gai..!
…
Uska Hath
Dukhi Shayari
Wo jis ka haath tak chuny ko by adbi smajhte thy
Galey se lag k roya bhi to kisi aur k liye …!
…
Koi Tamanna
Dukhi Shayari
Zindgi Tujhse Humain Koi Taman’na Kab Thi..!
Hum To Is Aass Pay Jeetay Hain Ke Marna Kab Hai.
…
Tumko Chaha tha
Dukhi Shayari
Jahan Phoolon ko khilna tha, Waheen Khiltey To Acha Tha,
Tumhi ko Humne Chaha Tha , Tumhi Miltey To Acha Tha.
Koi Aa kar Humein Pooche, Tumhein Kaise Bhulaya Hai,
Tumhare Khat ko Ashkon se, Shab-e-Gham mein Jalaya Hai
Hazaron Zakhm Aise Hain , Agar Silte To Acha Tha.
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.”
Tumhein Jitna Bhulaya Hai, Tumhari Yaad aayi Hai,
Bahar-e-No Jo Aayi Hai , Teri Khusboo Bhi Laayi Hai.
Tumhare Lab Meri Khatir, Agar Hiltey To Acha Tha.
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.
Mila Hai Lutf Bhi Humko, Haseen Yaadon ki Jhilmil mein,
Kati Hai Zindagi Tum Bin , Magar Ek Aas Hai Dil Mein.
Agar Aate To Acha Tha , Agar Miltey To Acha Tha.
Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha…!
…
Udaasi
Dukhi Shayari
ab udas phirtay ho sardiyun ki shamoon main
is tarhan tu hota ha is tarhan k kamoon main-
…
Nigaahen….
Dukhi Shayari
Do Nigahain Mileen
Mil k Phir Jhuk Gaeen
Jhuk K Phir Uth Gaeen
Waqat Tham Sa Gaya
Hosh Bhi Kho Gaey
Faslay Aik Lamhay Mein Teh Ho Gaey
Phir Achanak Nigahain
Juda Ho Gaeen
Ye Besaarat Unhain
Dhondti Reh Gaee
Aur
Us Waqat Say Haal Bechain Hai
Ye Tha Pehli Muhabbat Ka Pehla Safar
Kis Qadar TAiz Ru….!
Kis Qadar Mukhtasir..!!
…
Main bikhar geya chup chaap
Dukhi Shayari
Main raiza raiza hawa main bikhar gia chup chaap,
Teray firaq ka mosam guzar gia chup chaap,
Kisi nay kaan nah meri sada-e-dil pay dharay,
Meray wajood main ek shakhs mar gia chup chaap
…
Gehra Zakhm
Dukhi Shayari
Wafaa Ka Zakhm Hai Gehra To Koe Baat Nhi
Lagaao Bhi To Hame Unse Intehaa Ka Tha !!
…
Ajab halaat they mere
Dukhi Shayari
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha, ke tum sath thay meray
meray zar k talabgaron ki nazrain uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray
mai ik pathar ka gard alood buut tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray
kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram e halat thay meray
mai jin sholon maii jalta tha sayey tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmat thay meray
mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray
tasawor ban geua tasveer aakhir aik din woh
ici ka khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay meray
…
Mein uska hoon
Dukhi Shayari
Mein uska hoon, yeh tou main jaan geya hon lekin
Woh kis ka hai, yeh sawaal mujhe sonay nahin deta..
…
Hum to aese badnaseeb
Dukhi Shayari
Arey hum to aese badnaseeb hain mere dost,
Beiche’n agar kafan to log marna hi chorr dein.
…
Dil lagi ho gi
Dukhi Shayari
Ab ke agar laga dil to sirf dil lagi ho gi,
Hum tum apni mohabat tamam kar bethe.
…
Kis baat ka gham hay
Dukhi Shayari
Agar woh pooch lain hum say, tumhain kis baat ka gham hay
Tou phir kiss baat ka gham ho, agar woh pooch lain hum say
…
Toot kar bikharta hoon
Dukhi Shayari
Toot kar bikharta hoo’n to is baat ka ahsaas hota hai,
Zindagi itni takleef deti hai to maot ka aalam kya hoga..
…
Tu mujhe chor ke jata hai to ja
Dukhi Shayari
tu muje chor ki jata hai to ja,
mai to har roj tera intzar karuga,
tu dil tor ki jata hai to ja,
mai khud ko har roj barbad karuga
…
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dukhi Shayari.



