Eid Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Eid Shayari Poetry. Feel free to add your own Eid Shayari Shayari here.

Eid Shayari Collection

urdu eid poetry
Eid Shayari is poetry on eid festival. Eid Shayari and Eid Poetry is the same thing. Eid Poetry is read when eid festival is near and people need to wish their loved ones Eid wishes. Bakra Eid Shayari is another keyword for Eid Shayari. Eid Shayari is loved all over the world, wherever the muslims are. Muslims use Urdu Eid Poetry to wish their friends and family eid. The word “Eid Mubarak” is used to wish eid greetings.



Eid hai aaj aur tum pass nahin

Eid Shayari

Eid Hai Ajj Aur Tum Pass Nahi Ho
Sab Kuch Hai Pass Par Tum Pass Nahi Ho
Mana Tu li Hai Eid Hum Ne Yahan Pe
Na Aaya Woh Maza Jo Tum Pass Nahi Ho



Itne majboor they eid ke roz

Eid Shayari

Itne Majboor The Eid Ke Roz Taqdeer Se Hum
Ro Pade Milke Gale Apki Tasweer Se Hum



Mein eid nahin manaaon ga

Eid Shayari

Har baar ki tarah is bar bhi ansu bahaon ga,
Suno logo, mein eid nahin manaoon ga,

Sahu’on ga gham akele chupke chupke,
Zakham apne na kisi ko dikhaon ga,
Suno logo, mein eid nahin manaon ga.

lage gi mehndi hathon per, urti phiren gi titliyaan
Mein ponch ke ankhen, chup chap se so jaaon ga
Suno logo, mein eid nahin manaon ga.

Jis haal mein hoon mein, bohat khush-haal hoon mein
Zamaney bhar se acha hon, aag kahin na lagaon ga
Suno logo, mein eid nahi manaaon ga.



Mubarak ho eid

Eid Shayari

Sada haste raho jaise haste hain phool,
Duniya ki sare gham tumeh jaye bhool,
Charo taraf phalao khushion ka geet,
Eisi ummid ka sath Yaar tumhe…MUBARAK ho EID.



Eid mubarak ho apko

Eid Shayari

EID MUBARAK ho Aapko,
Dher sari tarif aur khusiya mile aapko,
But, Jab EIDI mile aapko to Please….
Aap Yaad karna Sirf Humko!!!



Chandraat ayi hai

Eid Shayari

dekhiyeh chand raat aai hai
sath khushian hazar laee hai

tum chaley aao aik lamhey ko
ham bhi manain ke eid aae hai

chaand bhia ya chand lamhon ko
jaisey tum ney jhalak dikhai hai

ham ne qismat ajeeb paee hai
Eid ka din hai aur judai hai

keh rahe hai hawa mujhy yasir!
us ne mehndi abhi lagaii hai



Is ?eid? pe hum b kahin milte hyn

Eid Shayari

Pholon ko jis trha bhanwre milte hyn
Aao is ?eid? pe hum b kahin milte hyn
Apni is chahat ko
Pyar bari rafaqat ko
Sachi lagan ka rang dete hyn,
Dunia k liye apni mohbat ko misal krte hyn
Rawani k liye jese darya samandar me khud ko pamal krte hyn
Phool jese gulshan se wafa nibane hr bar nikalte hyn
Aao is eid pe hum b kahin milte hyn ?



Tum aao to hum bhi eid karain

Eid Shayari

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….
Hasrat hai tumhari deed karain
tum ao hum b eid karain..

khch dair to man ko chain mile
khcuh roz to man k phool khilain…

kehte hian eid ki amad hai
ab log khch takeed karain

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

tum se ye aik guzarish hai
ye apne dil ki khahish hai…

aik bar milo aik bar milo
her bar yehi takeed karain…

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….

mana k hum dewane hain
sub bato se anjane hain

jub apne hi begane hain
kia gero se umeed karain

TUM AO TO HUM B EID KARAIN….



Eid ka din hai badee dhoom ki tayyari hai

Eid Shayari



Eid Eid Karte Kiun Karte Ho

Eid Shayari

Arz Kia Hai?
Zara Ghor Farmaiiye

Arz Kia Hai
Eid Eid Karte Kiun Karte Ho
Eid Bhi Aajayegi

Kia?
Eid Eid Karte Kiun Ho
Eid Bhi Aajayegi

Ramzan Ke Pure Rozay Rakho
Aqal Thikane Aajayegi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Eid Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari