Eid Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Eid Shayari Poetry. Feel free to add your own Eid Shayari Shayari here.

Eid Shayari Collection

urdu eid poetry
Eid Shayari is poetry on eid festival. Eid Shayari and Eid Poetry is the same thing. Eid Poetry is read when eid festival is near and people need to wish their loved ones Eid wishes. Bakra Eid Shayari is another keyword for Eid Shayari. Eid Shayari is loved all over the world, wherever the muslims are. Muslims use Urdu Eid Poetry to wish their friends and family eid. The word “Eid Mubarak” is used to wish eid greetings.



Eid ke chand ko dekho to rok lo aansuu..

Eid Shayari

Eid ke chand ko dekho to rok lo aansuu,
Jo ho sake to mohabbat ke ehtraam karo..



Eid aayi hai sulagti hui yaaden le ker..

Eid Shayari

Eid aayi hai sulagti hui yaaden le ker,
Aaj phir apni udaasi pe taras aaya hai..



Kuch sitaarey teri palkon pe bhi roshan hon ge..

Eid Shayari

Kuch sitaarey teri palkon pe bhi roshan hon ge,
Kuch rulaye ga mujhe bhi tera gham eid ke din..



Eid ke chaand ghareebon ko pareshan na kar..

Eid Shayari

Eid ke chaand ghareebon ko pareshan na kar,
Tujh ko maloom nahin ghareeb ki haal mein hai..



Tere bagher eid mein woh ronak’en kahan..

Eid Shayari

Tere bagher eid mein woh ronak’en kahan,
Bekaar sa hai mere liye eid ka sawaal..



Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi..

Eid Shayari

Eid ka din hai, har tarf hai gehma gehmi,
Aana chahoon jo tere pass to aaon kese,
Meri har saans amanat hai teri yaadon ki,
Toot ke is se zeyada tujhe chahoon kese..

(gehma gehmi;crowded with people)



Khushiyon se hamknaar raho tum ta’hayaat..

Eid Shayari

Khushiyon se hamknaar raho tum ta’hayaat,
Har roz roz-e-eid ho, har shab shab-e-baraat..

(hamknaar;along with, ta’hayaat;all the life)



Kitni eid’en guzar gayi tum bin..

Eid Shayari

Kitni eid’en guzar gayi tum bin,
Ab khuda ke liye na tarpaana,
Dekho phir eid aney wali hai,
Eid ke sath tum bhi aa jana..



Ab ke baras ki eid bhi tanha guzaar di..

Eid Shayari

eid5
Shayed tum aao mene isi intizar mein,
Ab ke baras ki eid bhi tanha guzaar di..



Eid ka din bhi shab-e-hijar ki suurat guzra..

Eid Shayari

Eid ka din bhi shab-e-hijar ki suurat guzra,
Dost aya na koi aur na tum hi aaye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Eid Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari