Four Lines Poetry

Ranjish.com has lots of Urdu Four Lines Poetry Poetry. Feel free to add your own Four Lines Poetry Shayari here.

Four Lines Poetry Collection

Four Lines Poetry is poetry in four lines. Four Lines Shayari is a kind of urdu poetry in only four lines. Lots of Four Lines Poetry is added each day.



Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya..

Four Lines Poetry

Kuch aansu, kuch khushiyan de ker ttaal geya,
Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya,

Kon jaaney ke kal ka samaa kesa ho ga,
Ab tak to kal sa hi hai sab haal geya..



Chupaaye dil mein ajab sa ghubaar bethe hain..

Four Lines Poetry

Chupaaye dil mein ajab sa ghubaar bethe hain,
Najane kese tassawur mein yaar bethe hain,

Luttaa chuke hain murawwat mein zindagi apni,
Tere liye to anaa ko bhi maar bethe hain..



Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri..

Four Lines Poetry

Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri,
Tujhse kya kehtey tere pass jo atey guzri,

Din jo guzraa to kisi yaad mein guzra,
Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri..



Tumhari ankh ka aansu, Hamari ankh se niklaa..

Four Lines Poetry

Tumhari ankh ka aansu,
Hamari ankh se niklaa,

Shikayat ab bhi hai tumko,
Mohabbat hum nahin kartey..



Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai..

Four Lines Poetry

Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai,
Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai,

Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho,
Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..



Shor hai, hungaama araayi hai..

Four Lines Poetry

Shor hai, hungaama araayi hai,
Zindagi, tu kahaan le aayi hai,

Nafsa nafsi ka ajeeb aalam hai,
Bheerr hai, magar tanhaai hai..

Javed Iqbal Saghar



Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar..

Four Lines Poetry

Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,

Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga,
Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah..



Zara si zindagi hai armaan bahut hain..

Four Lines Poetry

Zara si zindagi hai armaan bahut hain,
Humdard nahi koi, insan bohat hain,

Dil ka dard sunaye to sunaye kisko,
Jo dil ke kareeb hain wo anjaan bahut hain..



Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam..

Four Lines Poetry

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam,
sulagta raha dil ke andar akeley,

Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke,
Magar guzarta nahi ab December akeley..



Qissa abbi hijaab se agey nahi barha..

Four Lines Poetry

Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,

Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Four Lines Poetry.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari