Gham Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Gham Shayari Poetry. Feel free to add your own Gham Shayari Shayari here.

Gham Shayari Collection

Gham Shayari is poetry on sadness and sorowness. People read Gham Shayari when they feel hurt and ignored. Lots of Gham Poetry or Gham Shayari can be found here for our users to read and enjoy.



dawa karoon ga hashar main moosaa pah hoon ka

Gham Shayari

dawa karoon ga hashar main moosaa pah hoon ka
kion is nay aanch di meray qatl ki taigh ko



Wo baat baat pe deta hai parindoon ki misaal

Gham Shayari

Wo baat baat pe deta hai parindoon ki misaal
Saaf saaf kiyun nahi kehta mera shehar chorr dey



Ab tu khuwahish hy ke ye zakhme bhi kha kar dekhe

Gham Shayari

Ab tu khuwahish hy ke ye zakhme bhi kha kar dekhe
Lamha bhar ko sai es ko bhula kar dekhy



En sy mil kar bhi kaha milta hy dil ka iztarab

Gham Shayari

En sy mil kar bhi kaha milta hy dil ka iztarab
Ashaq ki dewar ke dono taraf saya ny



Apni tasveero sy hi ab ji ko behlata hy wo

Gham Shayari

Apni tasveero sy hi ab ji ko behlata hy wo
Esi tarah mai ny kabhi dekha na tha tanha osy



Dunya mein hamesha ranj sehna hai

Gham Shayari

Samajhta hoon ke dunya mein hamesha ranj sehna hai,
Magar phir kya karoon aasi, issi dunya mein rehna hai..



Mujhe apne barbad hone ka ghum nahi,

Gham Shayari

Mujhe apne barbad
Hone ka gum nahi,
Teri barbadi ka suna
Tu bohat roya

Main ne Har pal har
Su tujhe Yad kia,
Jab Tujhe Apni Yad se
Gaafil paya tu bohat
Roya

Ye zindagi
Ye Ronaqein
Ye ranjishein,
Jab in Sab me Tujhe
Tanha paya Tu bohat
Roya

Main ne apne Dil k har
Konay me sirf tujh
ko hi Bsaya,
Tere Dil me Basa jab
Koi Or dekha Tu bohat
Roya

“RanA” Jaanta tha k To
Es k Nasib me nahi
Hai
Lekin phir B tujhe khuda
Se Baar baar maanga Tu
Bohat Roya



Chalo door chalte hai iss duniya se kahi

Gham Shayari

Chalo door chalte hai iss duniya se kahi
Jaha tum ho aur me hu aur koi kahi nahi
Jaha sirf tumhari mahak ho phulo ki nahi
Jaha dhkehu tumhari aankho se apni nahi
Jaha noor ho tere chehre ka chand ka nahi
Jaha mausam ho pyaar ka taqraar ka nahi
Jaha hawaye ho teri zulfo ki mitti ki nahi
Chalo dur chalte hai iss duniya se kahi….!!



Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad

Gham Shayari

Uski aankhon may koi dukh basa hai shayad,
ya mujy khud he veham sa howa hai shayad,

main ny pocha k bhol gaye ho tum bhi ?
pOnch kar aansu mjhy Usny kaha …”SHAYAD”



Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi

Gham Shayari

Ye tairgi to bahar hal chat hi jae gi,
Na raas ai humen roshani to kia ho ga.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Gham Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari