Urdu Gham Shayari

This website contains Urdu Gham Shayari. Feel free to add your own Urdu Gham Shayari here.

Advertisement


Gham Shayari

Gham Shayari is poetry on sadness and sorowness. People read Gham Shayari when they feel hurt and ignored. Lots of Gham Poetry or Gham Shayari can be found here for our users to read and enjoy.



Tujh ko teri nazroun main hi gira doun mai

Gham Shayari

Youn hi sochta hoon main aksar
Tujhey kis tarhaan saza doun main

Teri arzoo karun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main

Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main

Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main

Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main

Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main

Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main……!



Na din acha hai, na hal acha hai

Gham Shayari

Na din acha hai, na hal acha hai,
Kisi jogi ny kaha tha k ye saal acha hai…
Mainy pocha wo kb chahy ga mjy meri tarha,
Bs muskura k keh diya sawal acha hai…



Akaila raat bhar tarpa

Gham Shayari

Akaila raat bhar tarpa mareez e shaam e gham saqi
Na tum aaye na neend aai na chain aaya na moat aai…



Na koi geet baki hay na koi saaz baki hayi

Gham Shayari

Khayalon main faqat ek sholah e awaaz baki hay
Na koi geet baki hay na koi saaz baki hai

Sab apney bhayd ham nay faash kar daalay zamanay par
Magar jo tuj sey kehna tha wohi ek raaz baki hai

Khudaawand hamien phir sey naii ek zindagi dey dey
Bareeda par hain lekin hasrat e parwaaaz baki hai

Nazar main raat k pichhlay pehar jesi khamoshe hay
Magar dil k dharakne ka wohi andaaaz baaki hai

Qateel is ehd-bey-maani main lafzon ka hay yeh aalam
Ke maani ho gaye rukhhsat faqat awaaaz baki hai

(Khudawand:God)(Bhayd:Secrets)(Faash:Leaked out)(Rukhsat:Departure)



Abhi tak mojood hein is dil mein

Gham Shayari

Abhi Tak Mojood Hein Es Dil Mein Tery Qadmoon K Nishan . . .
Tumhary Baad Es Raah Sy Kisi Aur Ko Guzarnay Nahi Diya . .



Jane kis shakhs ne chaha tha

Gham Shayari

Meri har mangi hui dua bekar gayi Toqeer
jane kis shaksh ne chaha tha usey itni shidat k sath



Itna to nazar andaz na kar

Gham Shayari

Ehsas Na Kar In Jazbon Ka, Nazron Se Gira Be-Shak Lekin,
Jeena Bhi Mujhy Dushwar Lagy, Itna To Nazar Andaz Na Kar…!!!



Mujh main kya hai jo koi yaad kare

Gham Shayari

Mujh Main Kya Hay Jo Mujhe Yaad Karey Ga Koi
Achey Achon Ko Yahaan Loug BhOol Jatey



Kisi se mohabbat na karna

Gham Shayari

Bare shok se pilaatey hai yeh ZEHAR ka peyala
Ager jeena hai to kisi se MUHABAAT na kerna…



Na gai teri adat wo satane ki

Gham Shayari

Na gai teri adat wo satane ki,
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarha kaat raha hun



Jub itni khushiyaan mil jayen

Gham Shayari

Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun ….
Phir Apni Duaon Mein Mujhe Tum Yaad Karlena ………!



Agar wo pooch lein hamse

Gham Shayari

Agar wo pooch lein hamse, Tumhein kis baat ka gham hai..
To phir kis baat ka gham hai, Agar wo pooch lein humse..



Maine khud ko kho diya hai

Gham Shayari

Tu Hi Bata Kahan Se Dhund Kar Laon Ab Apne Aap Ko
Tujhy Pany K Liye Main Ne Khud Ko Kho Deya Hai….!!!!

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Gham Shayari.



Search Urdu Poetry




RSS Shayari

  • Mera dil udas kyun hai.. May 16, 2012
    Jo zara kisi ne chera chalak jaynge aansu, Mujhse koi na pucho mera dil udas kyun hai. … […]
  • Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue May 16, 2012
    Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Haath Pakar Kar Chalte Hue, Maine Mohabbat Mein ‘TujhPe’ Kuch Yu’n Bharosa Kiya Tha..!! … […]
  • Main Bhool Gaya Hon Tujhe? May 16, 2012
    Kia Kaha..?? Main Bhool Gaya Hon Tujhe..? Nahi…! Nahi …! Dil Abhi Dharakta Hai… … […]
  • Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi May 16, 2012
    Tanhaai ki Raat Katt He Jayegi Itne Bhi Hum Majboor Nahi, Dohra Kar Teri Baton ko, Kabi Hans Len Gy Kabi Ro Len Gy..!! … […]
  • Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko May 16, 2012
    Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko Baada […]
  • Mohabbat khawb hoti hai.. May 16, 2012
    Mohabbat khawb hoti hai, Bari betaab hoti hai, Agar koi pooch bethe tou, Mohabbat raaz hoti hai.. … […]
  • Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona May 15, 2012
    Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona, Ek Sitara Bhi Mere Khayal ka Baqi Na Rahe Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona, Darr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Cheen Na Le Tera Yeh Roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona, Baad Main Log Gira Dain Tu Koi Baat Nahi Har Taraf Piyar Ki Deewar Utha kar Soona, Bhool Jaao […]
  • Apni tanhai mere naam pe abaad kare May 15, 2012
    Apni tanhai mere naam pe abaad kare, Kaun hoga jo mujhe uski tarah yad kare.. … […]
  • Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad May 15, 2012
    Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ???? Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad … […]
  • Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai.. May 15, 2012
    Ishq me hamesha hi, sabko thokar milti hai, bas kuch hi khushnasib hote hai, jinhe mohabat milti hai. … […]