Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Aap mil nahin rahe, phool khill nahin rahe..

Ghazal Shayari

aap mil nahin rahe,
phool khill nahin rahe,

aur kuch nahin hai dost,
zakhm sill nahin rahe,

hum kabhi sakoon main,
mustaqil nahin rahe,

kar raha hai woh sukhan,
log hill nahin rahe,

ishq hai zawaal main,
dil woh dil nahin rahe..



Ankahi dastaan samajh lijay..

Ghazal Shayari

ankahi dastaan samajh lijay,
ab mujhe rayegaan samajh lijay,

maine ab lab-kusha nahin hona,
sau khamoshi ko haan samajh lijay,

agar nahin aag se shanasayi,
aap mujh ko dhuaan samajh lijay,

saaye ka intezar kya karna,
dhoop ko sayebdaan samajh lijay,

kyun badalni hai ishq main tarteeb,
jo jahan hai wahan samajh lijay..



Shukar hai ke woh nazar to aane lagi..

Ghazal Shayari

shukar hai ke woh nazar to aane lagi,
yeh udaasi kahin thikaane lagi,

cHhup ke milna bhi rayegaan hi gaya,
us ki khushbu badan se aane lagi,

tu mujhe rok bhi nahin raha hai,
aur yeh bus bhi door jane lagi,

pehle to door rakha dil se mujhe,
phir woh khud rasta dikhane lagi..



Jab se tu mere sath chal raha hai..

Ghazal Shayari

jab se tu mere sath chal raha hai,
aesa lagta hai sab badal raha hai,

tujh ko cHhuna bhi kya museebat hai,
dost yeh hath kal se jal raha hai,

us ke sone pe raat hoti hai,
us ke uthne pe din nikal raha hai..



Chali hai naseem-e-sahar dheere dheere..

Ghazal Shayari

Chali hai naseem-e-sahar dheere dheere,
Gulon main kare gi assar dheere dheere,

Tumhari mohabbat main hum mar mitten ge,
Magar tum ko ho gi khabar dheere dheere,

Mujhe aesi umeed tum se nahin thi,
Ke tum pher lo ge nazar dheere dheere,

Lagi aag ulfat ki dono ke dil main,
Idhar dheere dheere, udhar dheere dheere.



Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye..

Ghazal Shayari

Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye,
Woh log manzilon se bohat door ho gaye,

Duniya hamare naam ko pehchanti naheen,
Hum to tumhare naam se mashoor ho gaye,

Kal shaam ki teri yaad ki aesi hawaa chali,
Jitne bhi gham qareeb thay sab door ho gaye,

Yeh kya hua ke sheher ka manzar badal gaya,
Jitne bhi thay charagh woh be-noor ho gaye,

Din raat hum kisi ke tasawur main khoye hain,
Duniya samajh rahi hai ke maghroor ho gaye,

Lo aaj jang hum ne mohabbat ki jeet li,
Hum un ko aur woh humen manzoor ho gaye..



Roothe to sheher-bhar main tamasha nahin kiya..

Ghazal Shayari

Roothe to sheher-bhar main tamasha nahin kiya,
Duniya ke samne tujhe ruswaa nahin kiya,

Kab kon hans ke milta hai apne raqeeb se,
Hum ne tumhare pyar main kya kya nahin kiya,

Yeh dosti nikkah main badlen ge aik din,
Yunhi tumhare vaaste kharcha nahin kiya,

Ghusse main gaaliyan bhi woh deta to khair thi,
Par us ne phone kaat kar acha nahin kiya..



Akele beth kar tum ko kabhi jab yaad karti hoon..

Ghazal Shayari

Akele beth kar tum ko kabhi jab yaad karti hoon,
main rona, muskurana haye dono sath karti hoon,

yaheen sofe pe bethe saat ambar ghoom aati hoon,
tumhara naam chakhti hoon nashe main jhoom jati hoon,

kahan hoon main jahan meri khabar mujh tak nahin ati,
gali dil ki tumhari yaad se abaad karti hoon,

tera jana meri ankhon main pyase khawb bota hai,
tera takiya lipaTt kar mujh se sari raat sota hai,
teri khushbu meri sanson ki galiyon main tehelti hai,
bari kambakht hai yeh yaad ankhon main pighalti hai,
main sari raat sona jaagna ik sath karti hoon,

teri baaton ke phoolon se ghazal makhdoom karti hoon,
main chupke se teri DP ko jab bhi zoom karti hoon,
tere phooke huye cigarette main aksar raakh hoti hoon,
teri lat main kabhi dhuan kabhi khaak hoti hoon,
main apne zakham par ashkon ki khud barsaat karti hoon..



Woh shakhss ba-amal tha magar zid pe aRr gaya..

Ghazal Shayari

woh shakhss ba-ammal tha magar zid pe aRr gaya,
apnon se door ho ke museebat main paRr gaya,

miTti se apni jo bhi wafayen na kar saka,
woh paiRr andhiyon main jaRron se ukhaRr gaya,

us ne bhi sab ke sath meri ki mukhalfat,
jis ke liye main sare zamane se laRr gaya,

jis din mere urooj ki us ne khabar suni,
us din se us ka zehni tawazan bigaRr gaya..



Ghoomte phirte kidhar agaya main..

Ghazal Shayari

ghoomte phirte kidhar agaya main,
yeh to lagta hai ke ghar agaya main,

acha khaasa woh khaRra hans raha tha,
aur phir us ko nazar agaya main,

aap maathe pe shikan mat daalen,
ghair-danista idhar agaya main..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari