Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Zindagi k is lamhay

Ghazal Shayari

zindagi k is lamhay
main bethi sooch rahe hoon
ke mujhe tum se kitni mohabat hai
shayad iska andaza kerna
namumkin hai meray liye
mohabat ki koi inteeha nahei hoti
isay bayaan kerne ki koi zabaan nahei hoti
sirf itna jan lo janaan
jitay taray asmaan main hain
jitnay phool zameen per hain
meray dil ke nihaan khanoon main
itnay hi Deep jalay hain
jo tumharay naam ke hain
suno humsafar
zindagi ke kisi lamhay main
mujh se juda tum maat hona
lamha-e-qayamat hoga wo meray leye
k tum bn zndagi sa maut achi hai



Larkiyaan Bewafaa nahi hoti

Ghazal Shayari

Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Wo to majborioon meing lipti hain

apne shiddat bhare khyalon mein
apne ander chhupi ek aurat mein

wo hamesha hi darti rehti hain
na to jeeti hain na to marti hain

larkiyaan bewafaa nahi hoti

per Hamesha.hi darti rehti hain
apne reeti or rawajoon se Ane wale naye azaboon se,

zarurat mein khile ghulaboon se
pyaar kerti hain or chhupati hain,

larkiyaan Bewafaa nahi hoti
kyuon ki majborioon mein lipti hain

aur har lamha darti rehti hain
apne pyaar se apne saye se

apney rishton se dil ki dharkan se
apni khowahish se apni kushiyon se



koi jata hain yahan say , na koi aata hai

Ghazal Shayari

koi jata hain yahan say , na koi aata hai
ya dia apnay andharay ghata jata hai

sab samajhtay hain wohi raat ki qsmat ho ga
jo sitaara kah bulandi par nazar aata hai

main isi khooj main barhta hi chala jaaata hn
kis ki aanchal hai jo hasaaron par lahraata hai

meri aankhoon main ek abr ka tukra shaaid
koi moosam ho sar shaam baras jaata hn

day tasali koi aankh par chalak uthti hai
koi samjhaaya to dl aor bhi bhar aata hai



Kisi Ki Zaat Mai Tujhsa Koi Kamal KahaN

Ghazal Shayari

Tmhari Yad Ka M0sam Kisi Pe Kese Khule,
Humari Ankh Se Chalta K0i Malal Kahan,

Aur Ab Ye Shehre Wafa Bhi Hy Ird Gird Boht,
Hasen Hy L0g Mgr, Aina Misal KahaN,

Hy Dil Usi Ka Muqadar Yunhi Bhatke Phire,
Kisi Ki Zaat Mai Tujhsa Koi Kamal KahaN….



Dil ankh ke kehne par safarat nai karta

Ghazal Shayari

Dil ankh ke kehne par safarat nai karta
kuch hai ki abhi uske himayat nai karta

kiss bat pe rutha hai pata ho to maanaooo
woh ruth to jata hai shikayat nai karta

har bat me hote hai usske kai soo matlab
woh bat to karta hai wajahat nai karta

us shakhas ke wado me wafa aaye kidhar se
vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta

main usse ruth ke jata nai ki wo aksar
ruhttho to manane ke zehmat nai karta

main uske leye sare zamane se laara hu
woh shakhas jo khud se b bagawat nai karta



Meray sabar ka imtihan na lay

Ghazal Shayari

Meray sabar ka imtihan na lay
meri khamishi ko saza na day

jo tery baghair na jee sakay
usay jeenay ki dua na day

tu aziz dil-o-nazar se hai
tu qareeb rag-o-jaan se hai

mery jism-o-jaan ka ye faasla
kahin waqat aur barha na day

tujhay bhool k na bhula sakon
tujhay chah k bhi na paa sakon

meri hasraton ko shumar kar
meri chahaton ka sila na day

tujhay kabhi milain agar fursatain
meri shaam phir se sanwar day

jo qatal karna hai qatal kar
yun judaiooon ki saza na day…



Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

Ghazal Shayari

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya..

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya..

jane kya us ko logon sey thi shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya..

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…



Hans k bola karo bulaya karo

Ghazal Shayari

Hans k bola karo bulaya karo
ap ka ghar hai aya jaya karo

muskurahat hai husn ka zevar
rup barhata hai muskuraya karo

had se barh kar hasin lagate ho
jhuthi qasmen zarur khaya karo

hukm karana bhi ek sakhavat hai
ham ko Khidamat koi bataya karo

bat karana bhi badashahat hai
bat karana na bhul jaya karo

ta ke duniya ki dilkashi na ghate
nit naye pairahan men aya karo

kitane sada mizaj ho tum “Adam”
us gali men bahut na jaya karo



Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do

Ghazal Shayari

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai
Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do



Main sun k uski sub batain

Ghazal Shayari

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari