Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Dehakti dhoop samundar hy,ye jazeery hay

Ghazal Shayari

Dehakti dhoop samundar hy,ye jazeery hay

ghany darakht jo sardko pay saya karty hay

 

Ajeeb shehar hy ye ass ke asma-n pay bhi

laho may doby howy surakh surakh doory hay

 

wo koi or tha shab-e khon marny wala

hamey na maro ke hum bhi be zarar farishty hay

 

Ye phattron ka hy jungle chalo yahan sy chalen

Hamary pas tu geeli zamee-n ke poodeyn hay

 

Phir en ke nechy darindo ke nam kis ny likhy

hameyn yaqeen hy ye sab hamary chehreyn hay

 

Azeem dushmano,chaqo chalao moqa hy

hamari hath hamri qamar ke pechy hay

 

Kahanyon kay bateyn such hoi jesy

sonehry shehar samundar may behty rehty hay

 



Zakham yon muskura ke khilteyn hay

Ghazal Shayari

Zakham yon muskura ke khilteyn hay

jesy wo dil ko choo ke guzraeyn hay

 

dard ka chand ansowo ke najoom

dil ke angan may aj utray hay

 

Rakh ke dhery jesy sard maka-n

chand en badliyon may rehty hay

 

Aeyno ka koi qasoor nay

en may apney hi aks hotay hy

 

Ghor sy dekh khak tanha ny

sath pholon ke rang urtain hy

 

Ab shab-e hijar bhi ny ati

en dino hum bohat akeely hy

 

En sy ehwal-e shab suno sahab

badar g rat rat ghomey hay

 

 

 



Jo idhar sy ja raha hy wahi muje pay meharban hay

Ghazal Shayari

Jo idhar sy ja raha hy wahi muje pay meharban hay

kabhi aag pasban hy kabhi dhoop saiban hay

 

Bardi arzoo thi muje say koi khak ro ke kehti

utara meri zamee-n par tu hi mera asma-n hy

 

Mai esi guma mai barso barda mutmain raha ho

tera jisam barda tagheer,mera piyar jaoweda-n hay

 

kabhi surakh momi shamy waha phir sy jal saky gi

wo lakhori ento-n ka jo barda sa ek maka-n hy

 

Sabhi baraf ke makano pay kafan bicheyn hay lekin

ye dhowa bata raha raha hy abhi aaj bhi yahan hy

 

Koi aaj jesy kohry mai dabi dabi si chamkey

teri jhilmilati aknho may ajeeb sa sam-n hy

 

Enhey raston ny jin par kabhi tum thy mery sath

muje rok rok pucha tera hum safar kaha hy

 

 

 

 



Sab aany waly behla kar chaly gay

Ghazal Shayari

Sab aany waly behla kar chaly gay

ankho par sheshy chamka kar chaly gay

 

Malbay ke nechy a kar maloom howa

sab kesy dewar gira kar chaly gay

 

Agar kabhi loten gay rakh batoren gay

jungle mai jo aag laga ka rchaly gay

 

May tha din tha or ek lamba rasta tha

sab khemay jab log utha kar chaly gay

 

Chattano par a kar tehray do rastay

phir agy ek rah bana kar chaly gay

 

Kuch esy bachy bhi ay maktab may

nam likhaya nam likha kar chaly gay

 

 



Phol sa kuch kalam or sahi

Ghazal Shayari

Phol sa kuch kalam or sahi

ek ghazal os ke nam or sahi

 

Es ki zulfain bohat ganheri may

ek shab ka qiyam or sahi

 

Zindagi ke udas qisay may

ek lardki ka nam or sahi

 

Kurciyon ko sunaieye ghazlay

katal ki ek sham or sahi

 

kapkapati hy raat seny may

zehar ka ek jam or sahi



Meri hasrat k janazy ko uthany waly

Ghazal Shayari

Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny be_dard hain ye log zamany waly

Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari
Ab kahan milty hain wo yar purany waly

Main dua_go hoon sada neendain hon mubarik tujh ko
Hijar ka dard mujhe de k jagany waly

Bas yehi soch k har bar manata hon usay
Lot k aaty nahi rooth k jany waly

Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly….!!



Ho Sakey To Rukh Say Pardey Ko Hatta Kar Daikhiye

Ghazal Shayari

Ho Sakey To Rukh Say Pardey Ko Hatta Kar Daikhiye
Aaj Apna Haal-e-Dil Hum Ko Suna Kar Daikhiye

Jaan Jaayein Gey Wafa Mein Hum Kisi Say Kam Nahin
Aap Bas Dil Ka Dareecha Khatkhata Kar Daikhiye

Jab Kabhi Mujh Ko Bulaaney Ki Tamana Dil Mein Ho
Mairey Koochey Ki Taraf Bas Kasmasa Kar Daikhiye

Aap Ke Zor-o-Sitam Ko Kab Talak Sehta Rahoon?
Mairey Jazbon Ko Kabhi To Aazma Kar Daikhiye

Ye Taqaaza Mairi Ulfat Ne Kiya Hai Aap Say
Diakhiye Jab Bhi Kabhi To Muskura Kar Daikhiye

Zeest Ki Raanaaiyaan Hon, Ya Nishaat-e-Wasl Ho
Ho Sakey To Mairi Aankhon Mein Sama Kar Daikhiye

Kyun Jhijhaktey Hain Humaari Khasta Haali Daikh Kar
“Kitni Wusat Hai Humaarey Dil Mein Aa Kar Daikhiye”



Wo ny hy tu os ki aas rahy

Ghazal Shayari

Wo ny hy tu os ki aas rahy

ek jay tu ek pas rahy

 

Jan bhi kasny laga,utar diya

es badan par kai libas rahy

 

Ek din may agr laho pi lo

kai din bartaon may baas rahy

 

Dono ek dosry ka muin dekhy

aeyna, aeyny ke pas rahy

 

Aja hum sab ke sat khob hansy

or phir dair tka udas rahy

 

 



chand hat may bhar ke jugnowo ke sir kato or aag par rakh do

Ghazal Shayari

chand hat may bhar ke jugnowo ke sir kato or aag par rakh do

qafla parindo ka jab zameen pay gir jay chaqowo ke sir rakh do

 

May bhi ek shajar ho jis par aj tak shaid koi phol phal ny ay

tum meri hateli par ek raat chipky sy barf  ke samar rakh do

 

Dhoop ka har bajra, aag ke samundro may chal barda hamey leny

narmo garm honton sy band hoti titliyon ke par rakh do

 

Chahey koi mosam ho din gy baharo ke phir sy loot ay gy

ek phol ki pati apny hont par rakh kar mery hont par rakh do

 

Mera tan darakhton may es lieye jholasta hy sakaht dhoop sehta hy

kia ajab tum a niklo or mery kandho par thak kar apna sir rakh do

 

Roz tar katny sy raat ke  samundro may shehar dhob jata hy

es lieye zarori hy ek diya silai jala kar tum dil ke taq par rakh do

 



Waqt rukhsat kahi tary, kahi jugno ay

Ghazal Shayari

Waqt rukhsat kahi tary, kahi jugno ay

haar pehnany muje phol sy bazo ay

 

Bas gy hy mery ehsas may ye kesi mehak

koi khosbo may lagaon teri khusbo ay

 

May ny din raat khuda sy ye dua mandi hy

koi ahat na ho mery dar pay or to ay

 

Os ki baten ke gul-o-lala pay shabnam barsy

sab ko apnany ka es shokh ko jado ay

 

en dino ap ka alam bhi ajab alam hy

shokh khaya howa jesy joi hawa ay

 

Os ny choo kar muje phattar sy insan kia

muddaton bad meri aknho may anso ay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari