Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Ye chandi bhi jin ko choty howay guzarti hy

Ghazal Shayari

Ye chandi bhi jin ko choty howay guzarti hy

dunya enhi pholo-n ko peron sy maslti hy

 

Shohrat ki bolandi bhi pal bhar ka tamasha hy

jis dal pay bethy ho wo toot bhi sakti hy

 

Loban may chingari jesy koi rakh jay

yon yad teri shab bhar seny may sulagti hy

 

A jata hy khud khench kar dil seny ki patri par

jab raat ki sarhad sy ek rail guzarti hy

 

Anso kabhi palkon par tadair ny rukty

urd jaty hy ye panchi jab shakh lachakti hy

 

khosh rang parindo ke loot any ke din ay

bichrdy howay milty hy jab barf  pighalti hy



Khusbo ko titliyon ke paro-n may chupaon ga

Ghazal Shayari

Khusbo ko titliyon ke paro-n may chupaon ga

phir nely nely badlon may loot jaon ga

 

Dewana war muje sy lipat jay gi hawa

may surakh surakh pholo-n may jab muskuraon ga

 

Sony ke phol patty giray gy zameen par

may zard zard shakho par jab gungunao ga

 

Ye lakrdiyan jo kushk hy bey barg-o-bar hy

en ko may apni aag may jalna sikhao ga

 

Denaar khob barsy gi angan may sari raat

may khawab ke shajar ki wo shakh hilaon ga

 

Dhul jay gi badan pay jami dhoop ki teh

apny laho may aj may esa nahao ga

 

ek pal ki zindagi behad muje aziz hy

palkon pay jhilmilaon ga or phr toot jaon ga

 

Ye raat phir na aye gi badal barsny dy

may janta ho subh0 tuje bhol jao ga

 

Es din bajay os ke tapkay ga surakh khon

talwar ly kar jab may khalaon may jaon ga

 

Jab raat ke sappurd muje karna aon gy

romal raoshni ka hawa may urdaon ga

 

angan may nany nany farishty lardy gy jab

bhroii shafeeq akknho may,may muskoraon ga

 

 



Mehfily may kasha, kocha-e dilbara

Ghazal Shayari

Mehfily may kasha, kocha-e dilbara

har jaga ho lieye ab chaly kaha

 

Maslihat chati hy ke manzil mily

or dil dhondta hy koi karwa-n

 

Chandi bhi meri tarah herat may hy

chup gia koi awaz dy kar kaha

 

Jani pehchani hy har ada, har nazar

ha-n magar ye ny yad ke dekha kaha

 

Raat yon gham ny phir dil may awaz di

jesy sehrah ki masjid may shab ki aza-n

 

Gird urd urd ke muin apna dekha kary

rakhi hy rah may aeyno ki duka-n

 

Kuch tu may bhi dil ka kamzor ho

kuch mohabat bhi hy fitratan badguma

 

Tazkira koi ho zikar tera raha

awal-o-akharsh, darmiyan darmiyan

 

Jany kis des sy dil may a jaty hy

chandni raat may dard ke karwa-n

 

Darmiya-n may na laeyn khuda ko hum bhi

bas wahi wo sy jis ki hy dasta-n

 

Badar sshab idhar ka na rukh kejeye

wali, lahore may shehar jadogara-n

 

 



Hay Ajeeb Dil Ki Haalat

Ghazal Shayari

Hay ajeeb dil ke halat her shay hoe paraaie
Meray dil main busnay walay teri yad phir say aaye

Tujhay dhoondti hain nazrain tujhay kis jaga main paon
Bardi lumbi ye judaie tou nay bay subub banaie

Parday saaray rung pheekay teri baywafaiyon say
Main jahan jahan say guzra hoe meri jug hunsaie

Meri preet tou nay looti mera chain tou nay cheena
Tujhay raas kyun na aaie barson ke aashnaie

Tujhay aasman bunaya main nay apni zindagi ka
Mujhay kya pata tha hogi teray dil main baywafaie

Jo saza main nay daidi teri aarzo main khud ko
Meray khawb saaray tootay mujhay niend tak na aaie

Main jal k raakh gar hon tou nehi hay iska zaamin
Mujhay jug nay mar dala main nay aag khud lagaie

Ye bharam bhe aaj toota teri dosti ka shaukat
Tou nay khud he ke mohabat tau saza bhe tou nay paaie

by Shaukat Ali Khan



Hum ko kafi hy yahi halqa zanjeer-e sukhan

Ghazal Shayari

Hum ko kafi hy yahi halqa zanjeer-e  sukhan

jao mil jao ke tumhey bant ly jageer-y sukhan

 

qaris-e mulk ghazal roy tu roo leny do

ghusal ashke sy howa karti tatheer-y sukhan

 

zindagi raat hy or raat bhi bimar ki raat hy

dard ban ban ke chmakti rahy tanveer-y sukhan

 

guftago jesy kahi door ghazal gay koi

kamshi jesy ke lab khoy hoey tasveer-y sukhan

 

zabt ki shad sy kat jata hy ahan ka jiger

loog pholon pay rowan karty hy shamsery sukhan

 

hum kabhi aeyna sift thy kaho lekin ab tu

apny mathy par obhar ay hy tahrery sukhan

 

hum jo mit jay gy mit jay gitehzeeb-e ghazal

apni taqder ma poshida hy taqder-y sukhan

 

wah wah kesi mia aah bhi karni ho muhal

waqai seny may lag jay gy agar teery sukhan

 

badar har fard ki insa-n nay keh sakty

badr har shair may hoti nay taseer sukhan



May nigary fikro-nigha ko kabhi bhol kar bhi sada na doo

Ghazal Shayari

May nigary fikro-nigha ko kabhi bhol kar bhi sada na doo

ye ajeeb sharte wafa hoi ke jo tum kaho may wahi kaho

 

kai ajnabi teri rah may mery pas sy yon guzar gy

jinhay dekh kar ye taradp hoi tera nam ly kar pukaro

 

meri arzo hy ke raat bas ek chandni raat may

may kamoosh barf ki wadyon ki udas banho may so raho

 

ye hawa na jany kaha kaha bahry dophar may lieye phiry

mery barge dil zara thehar ja tujhe ansoo sy may sench lo

 

kesi maslihat sy bahar khud mery lab ke pas thehar gy

meri arzo thi khizan ke khuskh,udas honto ko choom lo

 

ye safeed phool ki chadren nam-e shabn-e ka buna kafan

muje kuch na do yahi rehny do ke esi gali ki khak mai ho

 

may tu ansoo ka sakoot ho lab shu-aar muj ko sada na dy

na kabeer ho,na nazeer ho na ma meer ho na basheer ho

 

 



Aya hi ny ke hum ko ahista guzar jana

Ghazal Shayari

Aya hi ny ke hum ko ahista guzar jana

sheshy ka muqaddar  rahy tukra ke bikhar jana

 

taron ki tarah shab ke seny may utar jana

ahat na ho qadmo ki es tarah guzar jana

 

nashy may samnbhlny ka fun yo hi ny aya

en zulfon sy sikha hy lehra ke sanwar jana

 

phir jay gy aknho may anchal sy bandy badal

yad ay ga jab pagal par shabnam ka bikhar jana

 

har mord par doo ankhe hum sy yahi kehti hy

jis tarah mumkin ho tum loot ke ghr jana

 

phathar ko mera saya ayena sa chamka dy

jana to mera shesha yun dard sy bhar jana

 

ye chand sitary tum oroo-n ke lieye rakh lo

hum ko yahi jena hy hum ko yahi marna hy

 

jab toot gia rishta sarsabz pahardo sy

phir tez hawa jany hum ko hy kdhar jana

 



Hamara dard hamri dukhi nawa sy lardy

Ghazal Shayari

Hamara dard hamri dukhi nawa sy lardy

sulagti aag kabhi sir-pheri hawa sy lardy

 

may janta ho ke anjam-kar kia ho ga

akeela patta agr hawa sy lardy

 

mery aziz muje qatal kr ke phenk atay

bhaly hawa ke mery lab meri sada sy lardy

 

sonehri machliyan badal may kod jati hy

badan wahi hy jo bandish may bhi qoba sy lardy

 

siyah barf  may tuthry hy kainat meri

koi sitara uthy toot kar khala sy lardy

 

tamam rat ki khon raiz jang ka hasil

bohat andehra tha pany hi dost sy dipa sy lardy

 

tumhary shehar may kia hogia tha,jis ke lieye

basheer roty hy khuda sy lardy

 

 



Koi na jan saka wo kaha sy aya tha

Ghazal Shayari

Koi na jan saka wo kaha sy aya tha

Or es ny dhoop sy badal ko kuin mila diya tha

 

ye bat shaid logo ko na pasand ay thi

makan chota tha lekin bohat sajaya tha

 

wo ab waha hy jaha rasty ny jaty

may jis ke hat yahan pichly sal aya tha

 

suna hy os py chahekny lagy parnidy bhi

wo ek poda jo hum ny kabhi lagya tha

 

charagh doob gy kapkapaty  honto par

kesi ke hat hamary labo tak aya tha

 

badan ko chor ke jana hy asman ki taraf

samundro ny hamey ye sabaq pardhaya tha

 

tamam umar mera dam osi dohwey  may ghuta

wo ek charagh tha jisy may ny bujhaya tha

 

 



Hamari shohrato ki moot by namo nisha-n ho gay

Ghazal Shayari

Hamari shohrato ki moot by namo nisha-n ho gay

na koi tazkira ho ga na koi dastan ho gi

 

Agar mai lotna chaho tu kia may lut sakta ho

wo dunya sat jo mery chali thi

 

Parinday apni munqaro may sab sab tary chupa ly gy

jawani char din ki chandni hy phir kaha ho gi

 

Darakhto ki ye chaley utar jay gi, pattay kia

Ye dunya  dhiry dhiry ek din phir sy jawa-n ho gi

 

Hawaen raoy gi- sir phordh ly gi en pahardo sy

kabhi jab badlon mai chand ki doli rawa-n ho gi

 

Kisy  maloom tha -Hum log ek bistar pay soyen gy

Hifazat ke lieye talwar apny darmiyan ho gi

 

pasina band kamre ki ams ka jazba hai us mai

Humare tolye main dhoop ki khushbo kahan ho gi

 

Kisi gumnam pathar par bohat say nam likh do gay

To qurbani humari us tarha se javedan ho gi

 

Zameenen to meri ajrad ne sari ganwa di hain

Magar ye aik muthi khak kuhd apna nish-n ho gi

 

Samandar bordhey ho jaengay or ik fahisha machli

Humare sahilon or junglon ki hukmara-n ho gi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari