Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Ab or kis subha se main aas lagaon

Ghazal Shayari

Ab or kis subha se main aas lagaon
Jab shaam tak b usko main yaad na aun

Wo kho gya hai shayed apni rafaqaton main
Ab barishon k moasum main yaad kya dilaon

Tarpa nahi hai ab tak wo kisi ki judaiyon main
Main apne aansoou ko faryaad kyun banaon

Charcha abhi nahi hai ruswaiyon ka meri
Darta hon kal jahan main ruswa ho na jaon

Kehta raha hon usko mera sath sath chalna
Wo agay nikal gaya hai main kahin bichar na jaon



Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaonga

Ghazal Shayari

Itna toota hoon kay chooney sey bikhar jaonga
Ab agar aur Dua do gey to mar jaonga

Pooch kar mera pata, waqt rayegaa na karo
Main tu banjara hoon, kya janay kidhar jaonga!

Har taraf dhunnd hai, jugnu hai na chiraag koi
Kon pehchane ga, basti main agar jaonga

Zindagi mai bhi musafir hoon teri kashti ka
Tu jahan mujhse kahegi,utar jaonga

Phool reh jayenge guldaan mein yaadoon ki nazar
Main tu khushboo hoon, fizaon main bikhar jaonga



Naya ek rishta paida kyun karein hum

Ghazal Shayari

neya ik rishta paida kyun karen hum

Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhhagra kyon karen hum

Khamoshi se adaa ho rasm-e-duuri
Koi humgama-barpa kyon karen hum

Ye kaafi hai ke hum dushman nahi hain
Wafaadari ka daava kyon karen hum

Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab inn lafzon ka peecha kyon karen hum

Suna dain ismat-e-Maryam ka qissa
Par ab iss baab ko waa kyon karen hum

Zulekhaa-e-Azeezaan baat ye hai
Bhala ghaatay ka sauda kyon karen hum

Hamari hi tamanna kyon karo tum
Tumhari hee tamanna kyon karen hum

Kia tha ehad jab lamhon mein hum nay
To saari umar eefa kyon karen hum

Nahi dunya ko jab parwaah hamari
To phir dunya ki parwaah kyon karen hum

Barehna hain Sar-e-Bazaar to kia
Bhala andhon se pardah kyon karen hum

Hain baashinday issi bassti ke hum bhi
So khud par bhi bharosa kyon karen hum

Pari rehnay do insaanon ki laashain
Zameen ka bojh halka kyon karen hum

Ye basti hai muslamaanon ki bassti
Yahan kaar-e-maseeeha kyon karen hum



Meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe

Ghazal Shayari

Meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye,
Jo sarab ho’n naa azaab ho’n woh rafaqtain mujhe chahiye,

Unhain sama-ato’n ki talaash hain jo calendaro’n sey utar gayain,
Jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye,

Kahin mil sakai’n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya’n,
Jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye,

Jo meri shabo’n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay,
Wohi loug hain meri aarzoo. Wohi sooratai’n mujhe chahiye,

Teri qurbatai’n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko,
Mujhe faasilo’n sey dawam dein teri qurbatai’n mujhe chahiye,

Mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai’n hain meri saibaa’n,
Karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai’n mujhe chahiye….!!!!



Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai

Ghazal Shayari

Dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
Itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

Us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
Jaise pana hi use asl main mar jana hai

Bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
Dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai

Kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
Us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai

Main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
Vo to khushbu hai use agle nagar jana hai

Vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
Har musafir ko isi ghat utar jana hai

(Besimt:No Direction)(Mahatab:Moon)(Ubharte:Rising)(Ghat Utar:Go Through)



Wafa ke qaid khano men sazain kb badlati hen

Ghazal Shayari

Wafa k qaid khano men sazain kb badlati hen,
Badalta dil ka mosam he hawain kb badalti hen.

Meri sari duain us se hi mansoob rehti hen,
Muhbt agr ho sachi to duain kb badalti hen.

Koi pa kr nibhata he koi kho kr nibhata he,
Naye andaz hote hen wafain kb badalti hen.



Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese

Ghazal Shayari

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,

Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,

Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,

Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese…

(Samoyen:Keep)(Chalni:Injured)(Talwon:Feet)(Hashar:Judgement Day)



Mohabbat rog hai dil ka

Ghazal Shayari

Bhanwar main her ghari rehna mohobat rog hay dil ka
Tumhain thha bas yehi kehna mohobat rog hay dil ka

Zamanay bhar main bikhray hain mazar-e-ishq k manzar
Unhi kutbon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka

Tumhara saath chaha tau milay aanso umer bhar k
Yunhe aankhon ka num rehna mohobat rog hay dil ka

Sobha ke arzoo karna bina sooruj ke kirnon k
Phir soochon main gumm rehna mohobat rog hay dil ka

Kabhi tootain tumhari aas-o-umeedon k bandhan jab
Mujhay tum khud he likh daina mohobat rog hay dil ka

Nehi rakhna qadam apna kabhi hasar-e-ulfut main
Meray lafzon ko pardh laina mohobat rog hay dil ka

Tumhari jaan ka sadqa lahoo say main chukaaon tau
Subhe say tum yehi kehna mohobat rog hay dil ka

Shaukat rukk nehi sakta bahaao chaltay pani ka
Hazaron ghum parain sehna mohobat rog hay dil ka

by Shaukat Ali Khan



Muhabbat saja kar haseen shaam kartey

Ghazal Shayari

Sitarey sabhi hum teray naam kartey
Muhabbat saja kar haseen shaam kartey

Humain kuch atta ho teray aastaan se
Ghulami teri hum ye bey daam kartey

Chupa kar chaley hum sabhi chahaton ko
Suna kar ye qissay na bad naam kartey

Barastey na hotey ye pather shehar may
Hawaley guloon ke dar-o-baam kartey

Kabhi tum giratey ye mann ke button ko
Haseen aik Khuda hum teray naam kartey



Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho..

Ghazal Shayari

Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho,
Tum Mera Kitna, Khayaal Rakhte Ho,

Laboon Par Aik Hi, Sawaal Hai Zaahir,
Kaho Na Hum Se, Kitna Pyaar Karte Ho,

Tumhaare Bin Zindagi To, Zindagi Hi Nahi,
Dil Mein Jagah Itni, Khaas Rakhte Ho,

Lagta Nahi Ye Dil, Ab Tum Bin,
Jaana Qayamat Si, Misaal Rakhte Ho…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari