Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Tum JAN sakty

Ghazal Shayari

Tum JAN sakty is MOHABAT Ko?..
Kaaash
Kash tum DEKH sakty?
Tuty huy dil ko
Behty huy ansuon ko
……Is adhury m?sam ko
Kash Tum PARH sakty?
Mery hathon ki lakeron ko
Khawabon ki taberon ko
Dil k afsanon ko
Kash Tum SAMJH Sakty?
Mery lafzon ki gehrai ko
Honton ki sachai ko
Mehfil ki tanhai ko
Kash tum J?RR sakty?
Iss DIL ko.. ..
Iss RISHTY ko.. ..
Iss WADY ko.. ..



Jo Dil Mein Hay

Ghazal Shayari

Suno…

Keh Do
k Kab Se Muntazir Hain Hum
…Tumhary Chand Lafzoon k
Ajab Ik KashMakash Mein Hain
Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do
Ya Phir Azad Kar Do
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Jazba Koi b Ho
Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay

Suno…

Ab Bol b Do
Wagarna Yeh Moka
Hathoon Se Kho Baithy
To Pachtao Ge
Chalo Ab Keh b Do Hum Se
Karo Ab Tum Humy Saraab
Apny Lafzoon Ki Barish Se

Suno…

Hum Muntazir Hain…!!!



Khusbhu Se

Ghazal Shayari

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,
Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,
Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,
Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,
Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera,
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo



Yaad karna bhi

Ghazal Shayari

Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena,
Yaad karna bhi usay roz, bhula bhi dena

Kya kahoon meri chaahat hai ya nafrat uski,
Naam likhna bhi mera, likh ke mita bhi dena

Phir na milnay ko bicharta hoon tujhse lekin,
Mur ke dekhoon to palatnay ki dua bhi dena

Khat bhi likhna usay maayoos bhi rehna us se,
Jurm karna bhi magar khud ko saa bhi dena

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawaara lekin,
Jee main aaye to ye deewar gira bhi dena

Us se mansoob bhi kar lena puraanay Qissay,
Us ke baalon main naya phool saja bhi dena

Soorat-e-naqsh-e-qadam, Dasht main rehna “MOHSIN”
Apnay honay se na honay ka pata bhi dena.



Sukoon-E-Jaa’n

Ghazal Shayari

Sukoon-E-Jaa’n K Liye Dua’a Kaise Karon,
Dard Tou Usne Dia Hai Gila Kaise Karon,

Aksar Lout Aata Hon Manzil Se Yeh Soch Kar,
Mukam’mal Yeh Safar Uskay Bina Kaise Karon,

Hai Koi Mere Hi Haathon Ki Lakeeron Main,
Saqi Apni Taqdeer Ka Us Se Gila Kaise Karon,

Abb Munasib Hai Yehi Usko Bhula Doon,
Par Apni Rooh Ko Jism Se Juda’a Kaise Karon,

Sochta Hoon Kay Main Hi Mar Jao’on,
Lekin Us Ko Zamanay Main Akaila Kaise Karon…..!!!



Tera maqam

Ghazal Shayari

Wo jo dil mein tera maqam hai
Kisi aur ko wo dya nahi
Wo jo rishta tujhe se ban gaya
Kisi aur se wo bana nahi
Wo jo pyar tujhe se ho gaya
…Kisi aur se wo howa nahi
Wo jo raaz tujhe se hai kah dya
Kisi aur se wo kaha nahi
Wo jo sukh mila teri zaat se
Kisi aur se wo mila nahi
Tu basa hai aankhon mein jis tarah
Koi aur aise basa nahi
Tu howa hai jitna qareeb tar
Koi aur itna howa nahi
Tera naam dil mein hai jis tarah
Koi naam aise likha nahi



Mohabbat seekh ker

Ghazal Shayari

Mohabbat seekh ker karna
Kay bin seekhey mohabbat ka safar dushwar hota hai
Gareeban tar hota hai
Kabhi inkar hota hai, kabhi iqrar hota hai
kay bin seekhe mohabbat to sarabon ki kahani hai
Dukhon ki raaj dhani hai
Jo kal ban jaye ga badal
Yeh wo dariya ka pani hai…!!!

Mohabbat seekh ker karna
Kay bin seekhey mohabbat to azab-e-zindagi thehri
Sarab-e-zindagi thehri
Na ho takmeel jis ki woh
Kitab-e-zindagi thehri…!!!



Suno zra

Ghazal Shayari

Ye zindgi kitni mukhtasir hai
Mohabbton ka Kathan safar hai
Wafa ka naam-o-nishan nahi hai
Magar mohabbat kahan nahi hai
Suno zara
…Mere jane jana
Tum apni khushaal zindgi ka
Sirf aik lamha
Bus aik ghari mere naam kar do
Mohabbat meri tamam kar do



Tere naam ki roshni

Ghazal Shayari

Tere naam ki thi jo roshni Usay khud hi tu ne bujha dya
Na jala saki jise dhoop bhi Usay chahton ne jala dya

Main houn gardishon mein ghira howa Mujhe aap apni khabar kahan
Wo jo shakhas tha mera rahnuma Usay raston mein gawan dya

Teri nazar mein jo ajeeb tha Wohi shakhas tera habib tha
Tere hath ki wo lakeer tha Usay hath se hi mita dya

Mujhe ishq ka janun hai Abhi faisala nahi ho saka
Mera naam zeest-e-dasht tha Mujhe aandhion ne mitta dya



sadain nahi detay

Ghazal Shayari

Bharkte hoye sholon ko hawain nahi detay
Jate hoye lamhon ko sadain nahi detay

Mana yehi fitrat hai magar is ko badal do
Badle mein wafaon k jafain nahi detay

Gar phool nahi detay to kante bhi mut do
Muskan nahi deni to aahain nahi detay

Tum ne jo kia accha kia haan ye gila hai
Manzil na ho jis to wo rahin nahi detay

Ye baar kahin khud hi uthana na parhe kal
Auron ko bicharne ki duain nahi detay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari