Ghazal Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.Ghazal Shayari Collection
Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.
Zindagi ki Rahen
Ghazal Shayari
Zindagi ki Rahon mein
Oonch neech hoti hay,
Faaslay bhi bharty hain
Chahatain bhi lut ti hain
Rait kay toofano mein
…Siskiyan bhi rulti hain
Ye bhi ain mumkin hay
Aj hum ikatt’hy hain
Kal ko sath ho na hon
chahay kuch bhi ho jaye
Hoslon ko na khona
Bay waja bhi na rona
BAS !
TUM UDAS NA HONA..!!…
MUHABBAT” ki thi
Ghazal Shayari
Sari duniya k rivajon se adawat ki thi
Tumko Yaad hai jab maine ik hamaqat ki thi
Usay razdan samajh kr btaya tha haal-e-dil apna
par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi
…
Usko choor k hanstay huay ghar aa k
Itna roye thay k ankhon ne qayamat ki thi
mere ujarnay ka sabab jb b kisi ne poucha tu
maine bs itna bataya k “MUHABBAT” ki thi….
Shor to hota hy
Ghazal Shayari
“Main aksar Ussy kehta hon,
Tum shor boht Machaati ho”
“Phir wo mujhse kehti hy”
Jab kalaai meri tum pakro gay..
Chorri to meri khankay gi..
Chorri ka shor to hota hy..
Jb pyar sy mujhe bulao gay..
Tab Dorr k main to aungi..
Phr Paayal meri khanky gi..
Paayal ka shor to hota hy..
Jb bindiya meri Chamky gi..
Ye Aankh me teri Damky gi..
Jazby phr shor Machayen gay..
Jazbon ka shor to hota hai..
Zulf meri suljhaaty hue..
Jb Gajray ko Bikhraao ge..
Tab Saansain meri Mehken gi..
Saanson ka shor to hota hy….
Barish ka zamana
Ghazal Shayari
masoom mohabat ka bas itna fasana hai…
kagez ki haveli hai or barish ka zamana hai
kya shart_e_mohabt hai kya shart_e_zamana hai
awaz b zakhmi hai or geet b gana hai
us par utarny ki umeed bohat kam hai
kashti b purani hai tofan b ana hai
samjhay ya na samjy wo andaz mohabat ka
ek shaks ko ankho sy i shair sunana hai
bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai
phir aag ka daarya hai aur doob k jana hai…
Kabhi Wo juda
Ghazal Shayari
Yunhi ranjishon main guzer gaye..!
“Kabhi Wo khafa..!
“Kabhi Main khafa..!
“Chahaton ke modh per..!
“Kabhi wo ruka..!
…”Kabhi Main rukii..!
“Wohi rastay..!
“wohi manzilen..!
“Na usay khabar
“na mjhay pata..!
“Apni Apni anaa main gum..!
“Kabhi Wo juda..!
“Kabhi main juda….!!
Teri soch se nikal jaaon gi
Ghazal Shayari
Tere shaher teri soch se nikal jaaon gi
Kisi udaas sham main dhal jaaon gi
Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon gi
…
Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon gi
Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon gi
Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon gi
Yad Bohat Tum Atay Ho
Ghazal Shayari
Jab Dour Ufaq Pr Lali Ho
Jab Sham Udasi Wali Ho
Jab Zabt Ka Bandan Tuta Ho
Jab Aas Ka Daman Chuta Ho
Jab Darshan Pyas Bujate Hon
……Jab Mosam Geet Sunate Hon
Jab Kan Hon Tarse Baton Ko
Jab Nend Na Aaye Raton Ko
Jab Ankon Mai Jugrate Hon
Jab Apne Dard Statay Hon
Tub Yad Bohat Tum Atay Ho
Tub Yad Bohat Tum Atay Ho..
Hujoom mein tha
Ghazal Shayari
Hujoom mein tha Woh khul kar na ro saka hoga,
Magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga,
Woh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi,
Bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga,
Laraztey haath, shikasta si dor saanson ki,
Woh khushak phool kahan tak piro saka hoga ?
Boht ujaarr they pataal uski ankhon k,
Woh ansuon se na daman bhigo saka hoga,
Merey liye voh qabeeley ko chor kar ata,
Muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga.
Sab se chupa kar
Ghazal Shayari
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya,
Us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya,
Lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan,
Chehra bata raha tha k kuch ganwa diya,
…Aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi,
Or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya,
Jane kya us ko logon sey thein shikayatein,
Tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya,
Khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya,
Mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya.
Bas itna kehna hai
Ghazal Shayari
Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
…Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.